Pages

Showing posts with label DARS-E-HADITH. Show all posts
Showing posts with label DARS-E-HADITH. Show all posts

TALIMAAT-E-NABWI (PART 2)


Bismillahirrehmanirraheem



hz hamid bin abi hamid tuwail (rh) se riwayat hai ki unhone hz anas bin malik (ra) se hadith suni, unhone farmaya: 3 aadmi ummuhatul momineen (ra) ki khidmat me haazir hue, aur unhone(parde ke peeche se) nabi akram(sws) ki nafl ibadat ke muttalik sawal kiya, jab unhe bataya gaya ki( aap sws is andaz se ibadat karte hain) to unhone mahsus kiya ki yah ibadat thodi hai, phir unhone kaha: hamara aap(sws) se kya muqabla? Unke to agle pichle gunah maaf ho chuke hain( wah to agar zyada ibadat na bhi karen to koi baat nahi, hame to bahut zyada mahnat karne ki zarurat hai, unme se ek bola: main hamesha namaz(tahajjud) padha karunga; dusre ne kaha: main hamesha roza rakhunga, kisi din naaga nahi karunga; teesre ne kaha: main aurton se alag rahunga, kabhi nikaah nahi karunga; (jab aap(sws) ko in baaton ka ilm huwa to) aap(sws) unke paas tashrif le gaye aur farmaya:

" tum logon ne ye ye Baatein ki hai? Allah ki qasam! Main tum sabse zyada khauf e khuda aur taqwa rakhta hun, lekin main(nafli) roze bhi rakhta hun aur chhod ta bhi hun, (raat ko) namaz(tahajjud) bhi padhta hun aur sota bhi hun, aur maine nikaah bhi kiye hain"

(sahih bukhari, kitabunnikah h4774)(sahih muslim, kitabun nikaah, h 1401)



hz sahal bin saad sa'adi (ra) se riwayat hai ki unhone farmaya: janab rasoollullah(sws) ke paas se ek shakhs guzra, nabi(sws) ne apne paas baithe hue ek sahabi se farmaya:-" is shakhs ke baare me tumhari kya raaye hai?" unhone arz kiya:-" yah to khaas(ameer) logon me se hai, allah ki kasam! Yah to aisa aadmi hai ki agar kisi se rishta maange to usse nikaah kar diya jaayega(har shakhs khushi se rishta dene ke liye taiyyar ho jaayega), agar shifaarish kare to iski shifarish qubool ki jaayegi", janab rasoollullah(sws) khamosh ho gaye, thodi der baad ek aur aadmi guzra, aap(sws) ne farmaya:-" is Shakhs ke baare me aapki kya raaye hai?" unhone arz kiya:-" ya rasoollullah! Ya to muflis(gareeb) musalmano me se ek (aam sa) aadmi hai, yah to agar kisi se rishta maange to iska nikah nahi hoga. Agar shifarish kare to iski shifaarish qubool na ho, agar baat kare to koi iski baat na sune," allah ke rasool ne farmaya:-" us( daulat mand) jaise aadmiyon se poori zameen bhari hui ho to unse yah (muflis musalman) bahtar hai";


(sahih bukhari, kitabur riqaaq, bab faz lul fakhr, h 6447) (sunan ibne maja h 4120)



"hz abdullah bin masud ra farmate hai ki aap(sws) ne (ek baar) namaz padhi, jab salaam fhera to aapse arz kiya, aiy rasoollullah! Kya namaz me ko baad paida ho gayi hai? Farmaya wah kya? Arz kiya aapne itni rakatein padhi hain(yani zyada ya kam), aapne fauran apne kadam mode, qible ki tarah muh kiya, do sazde kiye aur salaam pher diya, jab hamari taraf muh kiya to farmaya, agar namaz me koi nayi baat hoti to main tumko bata deta, lekin main tumhari tarah insaan hun, jis tarah tumse bhool ho jaati hai mujh se bhi ho jaati hai, agar main bhool jaaya karun to mujhe yaad dila diya karo, agar tum me se kisi ko apni namaz me shak ho jaaya kare, to chahiye amure haq ki sahi baat soche aur usi ke mutabik(namaz) puri kare, phir salaam fher de aur sazde kare"


(sahih bukhari, kitabus salat ch:8 h:394)



HAJJ-E-TAMATTU



Hz marwan bin hakam riwayat karte hain ki:-" maine dekha hz usman(ra) logon ko hajj e tamattu se mana karte they, hz ali(ra) ne jab yah dekha to hajj wa umra(dono, sath ehram baandha) aur kaha, labbaik li umara wal hajj, phir farmaya, muhammad sallallaho alaihi wasallam ki sunnat ko kisi ke kahne se nahi chhodunga"


(sahih bukhari v2 ch26 hadith 634)




BIDATIYON KI PAHCHAAN (HADITH KI ROSHNI ME)



Bismillahirrahmanirraheem


Hz amr bin yahya rh se riwayat hai, unhone farmaya : maine apne waalid se suna, wah apne waalid se riwayat karte hain ki unhone farmaya: ham log subah ki namaz se pahle hz abdullah bin masood ra ke darwaje par (intezar me) baith jaaya karte the, jab wah ghar se bahar tashrif laate to ham unke saath masjid me jaate, (ek din) hamare paas hz abu musa ashari ra tashrif laaye aur farmaya: kya abhi tak abdurrehman(ibne masood ra) bahar nahi aaye? Hamne kaha: ji nahi, wah bhi hamare saath baith gaye yahan tak ki wah bahar tashrif le aaye, jab wah aaye to ham sab ikatthe hi uthkar unke paas pahunch gaye, abu musa ashari ra ne kaha:- abu abdurrehman! Maine abhi abhi masjid me ek kaam dekha hai jo mujhe ajeeb sa mahsoos huwa hai, waise alhamdulillah maine acchi cheez hi dekhi hai, ibne masood ne kaha: wah kaam kya hai? Unhone kaha: zindagi rahi to jald hi aap bhi dekh lenge, phir farmaya : maine masjid me kuch log namaz ke intezaam me halqe banakar baithe dekhe hain, unke saamne kankariya(peices of small stones) padi hain, har halqe me ek aadmi hai, wah kahta hai: sau(hundred) baar allahu akbar padho, we sau baar allahuakbar kahte hain, phir kahta hai: sau baar la illaha illallah kaho, we sau baar la illaha illallahu kahte hain, phir kahta hai: sau baar subhanallah kaho, we sau baar subhanallahu kahte hain(isi tarah zikr me mashgool hain), hz abdullah bin masud ra ne farmaya: phir aapne unhe kya kaha? Unhone kaha: maine kuch nahi kaha, balki aapki raaye aur huqm ka intezaar kiya, unhone farmaya: aapne unhe yah hukm kyon na diya ki we apne gunaah shumaar karen, aur unhe zamanat kyon na di ki unki koi neki zaaya nahi hogi?


Iske baad wah(masjid ki taraf) chal pade, ham log bhi aapke saath chale , yahan tak ki aap un halqon me se ek halqe ke paas ja khade hue aur farmaya: main tumhe yah Kya karte dekh raha hun? Unhone kaha: aiy abu abdurrahman! Yah kankariya hain, ham unke saath ginkar takbeer, tahleel, aur tasbeeh karte hain, ibne masood ne farmaya:" apne gunah shumar karo, main zamanat deta hun ki tumhari koi neki zaaya nahi hogi,

aiy muhammad (sws) ki ummat! Tum par afsos hai, kitni jaldi tum halaqat ke raaste par chal pade ho, abhi to tumhare nabi(sws) ke sahaba kaafi taydaad me maujood hain, abhi to nabi(sws) ke kapde bhi nahi fate, abhi to nabi(sws) ke bartan bhi nahi toote, kasam hai us zaat ki jiske haath me meri jaan hai, ya to tum muhammad(sws) ke raaste se bhi zyada hidayat waale raaste par ho, ya gumraahi ka raasta khol rahe ho", unhone kaha: abu abdurrehman ! Allah ki kasam hamara iraada to sirf neki ka hai, farmaya: " bahut se log neki ka iraada rakhte hain lekin unhe neki tak pahunchna naseeb nahi hota, janab rasoollullah sws ne hamen yah bataya tha ki kuch log Honge jo qur'an padhege lekin qur'an unke halaq se aage nahi jaayega( dil par qur'an ka koi asar nahi hoga), allah ki kasam! Malum nahi shayad unme se aksar tum log hi ho ", yah kahkar unke paas se chale aaye, hz amr bin salma ra ne farmaya: hamne jang e naharawan me dekha ki zikr ke wah halqe qaayam karne waalon mese aksar afraad kharijion ke saath milkar hamare khilaaf ladh rahe they"


( sunan daarimi 1/68 muqaddama, baab fi akhzira hadith 210)

Credited To :-http://islamicleaks.blogspot.com

TALIMAAT E NABAWI



Bismillahirahmanirraheem



imam nisai rh ne riwayat ki hai ki abu saeed khudri ra namaz padh rahe they, achanak marwan ra ka beta unke saamne guzarne laga, unhone( ishaare se) roka, wah na ruka, unhone use maara, baccha rone laga aur marwan (ra) ko jaakar bataya, marawa ra ne abu saeed se kaha: " aapne apne bhateeje ko kyon maara? Unhone farmaya: maine ise nahi maara, maine shaitaan ko maara hai, maine janab rasoollullah sws se suna hai, aap (sws) ne irshad farmaya:-" jab koi shaks namaz padh raha ho aur uske saamne koi insan guzarna chaahe to jahan tak ho sake use roke, agar na ruke to usse lade, wah shaitaan hai"


(sunan nisai, kitabul qasamah baab 47, hadith 4877, allama albani ne sahih kaha hai, dekhen-- sahih sunan nisai 4518)


hadith me aaya hai ki:

" khilafat tees saal(thirty years) tak nubuwwat ke tareeqe par chalegi phir sultanate ho jaayegi"


(sunan abu dawud baab fi khilafah hadith 7464)





Hz mughira bin shaiba ra se riwayat hai ki janab rasoollullah (sws) ne khana(food) tanawul farmaya, phir namaz ki iqamat hui to nabi(sws) namaz ke liye uth khade hue, aap(sws) ne usse pahle wuzu kiya huwa tha, lekin main(dobara) wuju ke liye paani le aaya, huzur (sws) ne mujhe jhidak diya, farmaya: "peeche raho", mujhe isse bahut taqleef hui, namaz ke baad maine hz umar (ra) ko yah baat batayi, unhone arz kiya: " aiy allah ke nabi! Mughira ra aapke daantne ki wajah se bahut dilgeer hain, we darte hain ki aapke dil me unse naraazgi to nahi, nabi (sws) ne farmaya: " mere dil me to uske liye acche khayal hi hain, lekin wah mere paas wuzu ke liye paani le aaya tha, haalanki maine sirf khana khaya tha, agar wuzu karta to mere dekhe me sab log(khana kha kar) wuzu karte (jisse ummat ke liye mashakkat hoti)"


( musnad ahmad 4/253)





Hz jaabir ra se riwayat hai, unhone farmaya: " ham log safar(journey) me the ek sahabi ko patthar laga jisse unke sar(head) me zakhm aa gaya, uske baad unhe neend me nahane ki haajat ho gayi, unhone apne hamsafar sahaba kiraam ra se masla poocha aur kaha: " kya aapke ilm ke mutabik mere liye tayammum karna jayez hai? Unhone kaha: hamare khayal me to aapko yah izaazat haasil nahi, kyonki paani maujood hai, chunanche unhone ghusl kiya jiske nateeje me wah mar gaye, jab ham nabi(sws) ki khidmat me pahunche to yah waqeya bhi arz kiya, nabi sws ne farmaya:

" unhone use qatl kar diya, allah unhe qatl kare! Agar unhe malum nahi tha to unhone (kisi saahibe ilm se) pooch kyon na liya? Kyonki la ilmi ka ilaaj sawaal karna hai"


( sunan abu dawood kitabut taharah baab majrooh tayammum hadith 336)





Hz usama bin zaid ra wah shaks hain jinse aap (sws) ko bahut muhabbat thi aur unke waalid se bhi bahut muhabbad thi, lekin iske bawajood jab unhone allah ki muqarar karda hudood me se ek hadd ke baare me sifarish karne ki koshish ki to janab rasoollullah sws ne unhe sakhti se khabardaar karte hue farmaya, chunanche

hz aisha ra ne bayan farmaya ki nabi akram (sws) ke zamane fatah makkah ke dino me jis aurat ne chori ki thi, use baare me quraish ke logon ko bahut fikr hui(ki uska haath kaat diya jaayega), unhone kaha: uske baare me janab rasoollullah (sws) ki khidmat me arz kaun karega? Tab unhone kaha: yah zurrat to sirf usama bin zaid ra hi kar sakte hain jo aap (sws) ko bahut pyaare hain, jab us khatonn ko nabi(sws) ke saamne pesh kiya gaya to hz usama bin zaid ra ne uske baare me arz kiya, is par aap (sws) ke chehre mubarak ka rang(ghusse ki wajah se) badal gaya, aur farmaya: " kya tu allah ke Hudood me se ek hadd ke baare me shafaat karta hai?" usama (ra) ne (apni galti ka ahsas karte hue) arz kiya: ya rasoollullah! Mere liye allah se maghfirat ki duwa farmaiye,

shaam ko aap(sws) ne khade hokar khutba diya, pahle allah ki badhai farmayi, phir irshaad farmaya:-" allah ki tareekon ke baad saaf ho ki tumse pahle log isi wajah se halaaq hue ki unme jab koi uncha shakhs chori karta tha to use chhod dete they, aur jab koi kamzor shakhs chori kar leta tha to us par hadd laagu(naafez) kar dete they, mujhe us zaat ki qasam jis ke haath me meri jaan hai, agar muhammad(sws) ki beti fatima ra bhi chori karti to main uska bhi haath kaat deta"

phir aap sws ne us chori karne waali aurat ke baare me huqm diya to uska haath kaat diya gaya"


( sahih bukhari, kitabul ambiya baab 52 hadith 3288, sahih muslim kitabul hudood baab qattaus saarik shareef hadith no. 1688, sunan nisai baab 6 h4913)

Credited To :-http://islamicleaks.blogspot.com

GHALTIYON KI ISLAAH KA NABAWI TAREEQA



Bismillahir rahmaniraheem




hz mughira bin shaiba ra se riwayat hai ki jis din janab rasoollullah sws ke farzand hz ibraheem ra ki wafaat hui, us din suraj grahan(solar eclipes) tha, kuch logon ne kaha: yah to ibraheem ra ki wafaat ki wajah se be noor ho gaya hai, is par nabi sws ne farmaya:-" suraj aur chand allah ki nishaanion me se do nishaniyan hain, unhe gahnaya huwa dekho to grahan khatm hone tak allah se duwa aur namaaz me mashgool raho"


(sahih bukhari, kitabul kasoof, baab duwa h1060)



hz abu waaqid laisi ra se riwayat hai ki janab rasoollullah sws jihaad ke liye hunain tashrif le ja rahe they, raaste me aapka guzar mushkireen ke ek ped(tree) ke paas se huwa jo " zaat e anwaat" ke naam se mashoor tha, we log us par (barqat haasil karne ke liye) apne hathyar latkaya karte they, kuch musalmano ne arz kiya: ya rasoollullah sws! Jis tarah uska yah " zaat e anwaat" hai usi tarah hamare liye bhi Koi ped(tree) farma dijiye, nabi akram sws ne farmaya:-

" subhanallah! Yah to aisi hi baat hai jis tarah moosa(as) ki qaum ne kaha tha: jis tarah in logon ke but(idol) hain hamari liye bhi ek but bana dijiye, qasam hai us zaat ki jiske haath me meri jaan hai, tum( musalman) zaroor apne se pahlon( gair muslimon) ke tareeqo par chaloge"


(sunan tirmizi, kitabul fitan , baab maaja h 2180, imam tirmizi aur allama albani ne sahih kaha hai.)( musnad ahmad 5/218)



hz zaid bin khaalid zuhni ra se riwayat hai, unhone farmaya: janab rasoollullah sws ne hudaibiya me hame subah ki namaz padhai, raat ko baarish hui thi, namaz se faarig hokar nabi sws ne sahaba kiram se farmaya: "kya tumhe malum hai ki allah taala ne kya farmaya hai? Sahaba ne arz kiya: allah ko aur uske rasool ko zyada malum hai, nabi sws ne farmaya:

" allah ne farmaya : is subah mera banda mujh par iman laane waala ban gaya, koi kufr karne wala , to jisne yah kaha: hamen allah ke fazl aur uski rahmat se baarish mili hai, wah mujh par imaan rakhne waala hai aur sitaron(stars) ke saath kufr karne waala hai, aur jisne kaha: falan falan sitare ki wajah se baarish hui hai, wah mere saath kufr karne wala aur sitaare par imaan rakhne waala hai"


( sahih bukhari kitabul azaan, baab yas-takablul imam h846)



hz abdullah bin abbas ra se riwayat hai ki ek aadmi ne kaha : aiy allah ke rasool! Jo kuch allah chaahe, aur jo aap chaahe wahi hota hai, nabi sws ne farmaya: "tune mujhe allah ke barabar kar diya? Balki wahi hota hai jo akela allah chaahe,"


(musnad ahmad 1/283)



hz abdullah bin umar ra se riwayat hai ki unhone ek kaafile me hz umar ra ko apne baap ki qasam khaate paaya to janaab rasoollullah sws ne sab logon ko buland aawaz se mukhatib hokar farmaya:-" suno! Allah tumhe apne baapon ki qasme khaane se mana farmata hai, jis qasam khana ho wah Allah ki qasam khaaye, warna khamosh rahe"


( sahih bukhari, kitabul adab baab 74, h6108)



hz abu sureeh haani bin yazid ra se riwayat hai, kuch log nabi akram sws ki khidmat me haazir hue, nabi sws ne dekha ki wah ek aadmi ko abdul hajar( patthar ka ghulam) kahkar bulaate hain, huzoor sws ne usse kaha: "tumhara naam kya hai?" usne kaha: abdul hajar(patthar ka banda), farmaya: "nahi, tu abdullah(allah ka banda) hai


( al adbul mufrad imam bukhari 1/282)


Credited To:-http://islamicleaks.blogspot.com

JAHANNUM ME SABSE PAHLE KAUN DAALA JAYEGA? (HADITH KI ROSHNI ME)



Bismillahir rahmanirraheem



imam tirmizi ne ek tabi hz shafi ashabi rh ka waqeya bayan farmaya hai ki wah madeena pahunche to dekha ki bahut se log ek buzurg ke aas paas jama hain, unhone poocha yah buzurg kaun hain? To logon ne bataya yah sahabi e rasool abu hurairah ra hain, iske baad we apna waqeya bayan karte hue farmate hain:-" wah logon ko hadees e nabi suna kar dars de rahe they, main ahista ahista qareeb hote hote aap(hz abu huraira) ke saamne ja baitha, jab wah dars se faarig hue aur log uthkar jaane lage to maine arz kiya: main aap (ra) ka ka waasta dekar arz karta hun ki aap mujhe aisi koi hadith sunaaye jo aapne janab rasoollullah sws se barahe raast suni aur samjhi ho aur aap ko acchi tarah yaad ho, hz abu hurairah ra ne farmaya: "haan main sunaunga, main aisi hi hadith sunaounga jo rasoollullah sws ne mujhe sunaayi, aur maine use samjha aur yaad kiya", phir achanak unki tabiyat kharaab ho Gayi, thodi der baad hosh theek huwa to farmaya:" main aapko zaroor wah hadith sunaoga jo rasoollullah sws ne mujhe is ghar me sunaayi thi, us waqt aap(sws) ke paas mere elawa koi nahi tha" itna kahte hi phir halat kharaab ho gayi, jab aaraam huwa to chehre se paseena pochne lage, phir farmaya: "haan, main aapko zaroor wah hadith sunaounga, jo aap sws ne mujhe sunaayi thi, jabki main is ghar me nabi sws ke hamraah tha, mere siwa aap sws ke saath aur koi nahi tha", iske baad abu hurairah ra ki haalat phir kharaab ho gayi aur aap(ra) chehre ke bal jhuk gaye, maine bahut der tak aap(ra) ko sahara diye rakha, tab aap (ra) ki haalat sambhli to farmaya: mujhe janab rasoollullah(sws) ne yah hadith sunayi ki:- " jab qiyamat ka din hoga allah taala bandon ke darmiyaan faisla karne ke liye zameen par tashreef farma honge, har jamaat ghutne ke bat jhuki hui hogi, sabse pahle allah taala jin logon ko bulaayenge, Unme se ek shakhs wah hoga jisne qur'an paak yaad kiya hoga, aur ek wah shakhs hoga jo allah ki raah me jung karta raha hoga, aur ek bahul maaldaar shakhs hoga, allah taala qur'an ke aalim se farmayenge: kya maine wah kitab nahi sikhaayi thi jo maine rasool par naazil ki thi? Wah kahega, ji haan ya rabb!, allah taala farmayega: phir tune apne ilm par kaise amal kiya? Wah kahega, main raat din usme mashgool rahta tha, allah taala farmayenge: toone jhoot kaha, aur farishte usse kahenge toone jhoot kaha, allah taala farmayenge: teri niyat to yahi thi ki kaha jaaye falan shakhs (bada) qaari aur aalim hai, wah (duniya me) kaha ja chuka, isi tarah maaldaar shaks ko haazir kiya jaayega, allah taala usse farmayenge: kya maine tujhe maaldaari nahi bakshi thi yahan tak ki maine tujhe kisi ka mohtaaj na rahne diya ? Wah kahega: ji haan, ya rab. Allah taala farmayenge: phir tune mere diye hue maal ka kya kiya? Wah kahega, main rishtedaaron par ahsaan karta tha aur (sab zaroorat mando par) sadqa karta tha, allah taala farmayenge: tu jhoota hai, farishte bhi kahenge: tu jhoota hai, allah taala farmayenge: tu yah chahta tha ki log yah kahen: falan shakhs bahut daani hai wah(duniya me) kaha ja chuka, isi tarah allah ki raah me qatl hone waale ko haazir kiya jaayega, allah taala usse farmayenge: tujhe kis liye qatl kiya gaya? Wah kahega: mujhe teri raah me jihaad ka huqm mila, to main jung karta raha yahan tak ki main qatal kar diya gaya, allah taala use farmayenge: tu jhoota hai, farishte bhi use kahenge: tu jhoota hai, allah taala farmayenge: balki teri khwahish sirf yah thi ki kaha jaaye: falan bahut bahadur hai, wah kaha ja chuka",

iske baad janab rasoollullah sws ne mere ghutne par haath maar kar farmaya:- " abu hurairah! Ye teen log hain, jo qiyamat ke din tamam makhlooq me sabse pahle jahannam me Jhoke jaayenge"


( sunan tirmizi, kitaab sift qiyamat baab 49, wa sunan ibne maaja, kitaab zuhud, baab zikr tauba h 4251, allama albani ne hadith ko hasan kaha hai)


Agar nasihat karne waale ki niyat sahi ho to use sawaab milega, aur allah ke huqm se baat me asar paida hoga aur sunne waale uski baat maanenge.....


Credited To :-http://islamicleaks.blogspot.com/

ALLAH KA FARMAN


Bismillahirrahmanirraheem


ASSALAM O ALEKUM


Mout Aur Zindagi.! Wo ( Allah) Hi To Hy Jo Raat Ko Tumhari Rooh Kabz Karta Hy Aur Jo Kuch Tum Din Me Karty Rehty Ho, Wo Iss Ko B Janta Hy, Phr Dosry Roz (Subah) Tmhy Iss Se Jaga Deta Hy Taa K Zindagi Ki Muqarrah Muddat Pori Ho. Akhir Kaar Isi Ki Traf Tum Ko Wapis Jana Hy, Phr Wo Tumhy Bata Dy Ga K Tum Kya Karty Rahey Ho.!

{Surah Al-InamAyat 60}  

Allah K Nafarman Logon Ka (Duniya Mai Aish Ki Zindagi Guzarna Aur) Unka Chalna Phirna Tum Ko Kisi Dhoke Mai Na Dal De. Ye Mehez Chand Roza Zindagi Ka Thora Sa Lutf Hai, Phir To In (Nafarmano) Ka Thikana Dozakh Hi Hoga Jo Bad Tareen Aram Gah Hai .

(SURAH AL IMRAN AYAT 196-197) 


"Hum Ne Tumhain Zameen Main Ikhtiyarat k Saath Basaya Aur Tmhare Liye Yahan Saman-e-Zindagi Faraham Kia, Magar Tum Log Kam Hi Shukar-Guzaar Hote Ho"

(Surah Aaraf)

Credit To :-http://islamicleaks.blogspot.com/

DEAF , BLIND AND DUMB


AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


ALLAH FARMATE HAIN,


"UNKE PAAS DIL HAI LEKIN WO UNSE SAMJHTE NAHI, AUR UNKE PAAS AANKHEN HAIN LEKIN WO UNSE DEKHTE NAHI, AUR UNKE PAAS KAAN HAIN LEKIN WO UNSE SUNTE NAHI, WO TO PASHUO(ANIMAL) KI TARAH HAIN, BALKI AISE LOG TOH UNSE BHI ZYADA GUMRAAH HAIN, YAHI WO LOG HAIN JO GAFLAT ME PADE HUE HAIN,


(SUR- AARAF 176)

ISSE BADKAR UN LOGON KI NINDA AUR KYA HO SAKTI HAI JO AKL RAKHTE HUE BHI MAANAV-SAMAJ KI BHALAI SOCHNE KE LIYE TAIYAR NAHI HAI, JISKI WAJAH SE WO QIYAMAT KE DIN APNE IS GUNAH KO QUBOOL KARENGE AUR KAHENGE,

"AGAR HUM SUNTE HOTE, YA AQL SE KAAM LETE TO HM DAHAKTI AAG ME PADNE WALON MESE NA HOTE

SURAH-MULK 10

CREDITS TO :-http://islamicleaks.blogspot.com/

DARS-E-HADITH


AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

SURAH MAIDA CH 5 V 17 )


If Allah touch thee with affliction. none can remove it but he ! Touch thee with happines He hath power over all things



Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya Admi K Bura Hone K Lye Yahi Kafi Hy K Wo Apne Musliman Bhai Ko Haqeer Samjhey


(Sahi Muslim Kitabul Ber H#2523)



Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya: Agli Quamain Is Terha Halaak Hoi Ke Jab Koi Moziz Admi Chori Kerta To Chor Dya Jata Lekin Jab Mamuli Admi Jurm KertaTo Ise Saza Di JatiWalla! AgerFatima Bint Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)Bhi Chori Kare To Main Iska Haath Kaat Dalonga


(Sahih Bukhari, Ahadeesul Anbia, H#3475 / Sahih Muslim, Kitabul Hudood, H#1688)



Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya, Ager Namazi Ke Saamne Se Guzarne Waaley KoGuzarney Ki Saza Ma’loom Ho JaeTo Isey 1 Qadam Agey Berhney Ke Bijae40 ( Din, Mah Ya Saal) TakWahin Kharey Rehna Pasand Ho.

(Bukhari, Kitabul Salaat, H#510 /Muslim, Kitabul Salaat, H#507)

CREDITS TO:-http://islamicleaks.blogspot.com/

DARS-E-HADITH


As salam o allaikum wr wb


Nabi sallallaho allaihi wasallam ne farmaya:" yaad rakho mujhe qur'an majeed aur uske saath us jaisi ek aur cheez(hadith) di gayi hai."aur jis tarah allah taala ne apne hukm ko farz kiya hai. Usi tarah apne rasool ke hukm ko bhi farz kar diya hai...ABU DAWOOD: 4587 , ibne hibban ne sahih kaha hai.... AUR farmaya " aiy ahle imaan! Allah ka kahna maano aur uske rasool ka. Aur uski batai hui baaton se hatkar apne karmon ko baatil na karo... Surah:muhammad 47 :33 frwd this hadith to all urAs salam o allaikum wr wb


Nabi sallallaho allaihi wasallam ne farmaya:" yaad rakho mujhe qur'an majeed aur uske saath us jaisi ek aur cheez(hadith) di gayi hai."aur jis tarah allah taala ne apne hukm ko farz kiya hai. Usi tarah apne rasool ke hukm ko bhi farz kar diya hai...ABU DAWOOD: 4587 , ibne hibban ne sahih kaha hai.... AUR farmaya " aiy ahle imaan! Allah ka kahna maano aur uske rasool ka. Aur uski batai hui baaton se hatkar apne karmon ko baatil na karo... Surah:muhammad 47 :33



zamane ki kasam hai, insaan ghaate me hai. Unko chod kar jo iman laaye, acchae kaam kya...aur aapas me sach(true) baat kahi....aur sabr kiya...

(sur- asr ayat no 1-3)

CREDITS TO:-http://islamicleaks.blogspot.com/

ShareThis