Ek Janwar Sare Ghar Walo Ki Taraf Se Kafi Hai Chahe Gharwalo Ki Tadad Ketni Hi Kyu Na Ho:
Hazrat Ataa Ibn Yasaar Bayan Karte Hai Ke Maine Sawal Kiya Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Se Rasoolullah Sallallahualahiwasallama Ke Daur Me Qurbani Kaise Di Jati Thi? To Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Ne Farmaya:-
Rasoolullah Sallallahualahiwasallam Ki Daur Me Ek Shaks Ek Bakri(Goat) Ki Qurbani Karta Tha Apne Aur Apne Sare Ghar Walo Ki Taraf Se Aur Wo Khud Bhi Khate Aur Dusro Ko Bhi Khilate Yaha Tak Ke Logo Ne Fakr Karna Suru Kar Diya Aur Jo Haal Hai Wo Tum Dekh Rahe Jo...
(Jami Tirmizi, Abwab Ul Azaayi, Babu Maja'a Innasshatal Wahidata Tujziyu An Ahlil Baiti)
Imam Tirmizi Ne Is Hadees Ko Hasan Sahih Karar Diya Hai,
Imam Shaukani Ne Bhi Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai
(Nayl Ul Awtar, Kitab Ul Uzhiyata, Safa-137)
Imam Shaukani Ne Bhi Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai
(Nayl Ul Awtar, Kitab Ul Uzhiyata, Safa-137)
Imam Ibn Naqqash Ne Bhi Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai.
(Al Ihkaam Ul Ahkam,Safa-254)
Ann Abdullahubnu Hishaami Qaula Kaana Rasoolullahi Sallallahualaihiwasallama Yuzhiya Bisshaati Wahidati Ann Jamiyi Ahlihi...
Hazrat Abdullah Ibn Hishaam Raziallahuanhu Farmate Hai Ke Rasoolullah Sallallahualaihiwasallam Ek Bakri Ki Qurbani Karte The Apne Sare Gharwalo Ki Taraf Se...
(Mustadrak Imam Hakim, Kitab Ul Uzhiya, Hadees-7555, Safa-255)
Imam Hakim Ne Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai Aur
Imam Hafiz Zahabi Me Unki Muafiqat Ki Hai,Aur
Imam Hayshmi Ne Farmaya Ise Imam Tabrani Ne Apne Kabeer Me Riwayat Kiya Hai Aur Iske Rijaal Sahih Hai.
Imam Hafiz Zahabi Me Unki Muafiqat Ki Hai,Aur
Imam Hayshmi Ne Farmaya Ise Imam Tabrani Ne Apne Kabeer Me Riwayat Kiya Hai Aur Iske Rijaal Sahih Hai.
(Majma Uz Zawaid, Kitab Ul Uzhiya, Safa-21)
In Dono Hadeeso Me Waze Dalil Maujud Hai Ke Ek Bakdi Yani Goat Us Shaks Ki Taraf Se Jo Qurbani Kar Raha Hai Aur Uske Sare Gharwalo Ki Taraf Se Kafi Hai Chahe Gharwalo Ki Tadad Ketni Hi Kyu Na Ho Aur Yahi Rasoolullah Sallallahualaihiwasallam Ki Aur Sare Sahaba Ekram Rizwanullahialahiajmain Ki Sunnat Haiaur Yahi Kehte Hai Imaam Malik Aur Humare Ashab Imam Ahmad Ibn Hambal Aur Imam Ishaq Ibn Rahway Aur Imam Auzayi Aur Imam Lais Ibn Sa'ad Aur Imam Hakim Aur Imam Tirmizi Aur Imam Hayshmi Aur Imam Ibn Quiyim Aur Imam Shaukani Aur Imam Ibn Naqqash Ke Ek Janwar Us Shak Ki Taraf Se Jo Qurbani Kar Raha Hai Aur Uske Sare Gharwalo Ki Taraf Se Kafi Hai...
(Jami Tirmizi Abwab Ul Uzhiya)Taufat Ul Ahwazi Sharh Jami Ut Tirmizi, Jild-5, Safa-72)
Imam Abdullah Farmate Hai Ke Maine Apne Walid Yani Imam Ahmad Ibn Hambal Se Pucha Ke 1ek Bakdi(Goat) Sare Gharwalo Ki Taraf Se Qurbani Karne Ke Bare Me?To Unhone Yani Imam Ahmad Ibn Hambal Ne Farmaya,La Bayis Qad Zabiyun Nabiyi Sallallahualaihiwasallama Kabshaini Qurban Ahaduhuma Faqaula Bismillahi Haza Ann Muhammadu Wa Ahlil Baitihi...
Koi Harz Nahi Isme Balke Nabi E Kareem Sallallahualaihiwasallam Ne Do Mendha Zibah Kiya Aur Usme Se 1ek Janwar Apne Zibah Kiya Aur Farmaya Suru Allah Ke Naam Se Ye Muhammad Alahisalam Ki Taraf Se Hai Aur Unke Sare Gharwalo Ki Taraf Se...
(Masail Ul Imam Ahmad Ibn Hambal Lil Abdullah,Safa-262,)
(Masail Imam Ahmad Ibn Hambal Lil Ishaq,Safa-130)
(Masail Imam Ahmad Ibn Hambal Lil Ishaq,Safa-130)
Imam Ibn Quiyim Jauziya Ne Farmaya Rasoolullah Sallallahualahiwasallam Ki Sunnat To Ye Hai Ke 1ek Bakdi(Goat) Ek Shaks Aur Uski Sare Gharwalo Ki Taraf Se Kafi Hai Chahe Unki Tadad Ketni Hi Kyu Na Ho...
(Zaad Ul Maad, Jild-1, Safa-579)
Imam Shaukani Ne Farmaya,Wa Haqqu Innaha Tajzi Ann Ahlil Baiti Wa Inkaanu Maayitu Nafsi Aww Aksaru...
Haqq To Ye Hai Ke Ek Bakdi Kafi Hai Sare Gharwalo Ki Taraf Se Chahe Unki Tadad 100 Hi Kyu Na Ho Ya Inse Bhi Zyada....
(Nayl Ul Awtar, Kitab Ul Uzhiya, Safa-137)
Alhamdullah Etne Sare Dalil Ke Baad Aur Behes Aur Aur Koi Shak O Shuba Ki Koi Gunjais Hi Baki Nahi Rehta...
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
"Main Tumhare Darmiyan 2 Cheezen Chod Kar Ja Raha Hoon (Quran Aur Sunnat Sahih Hadis) Jab Tak Tum Inhe Mazbuti Se Pakde Rahoge Hargiz Gumrah Nahi Hoge
(Hadis Al Hakim, Mo'atta Imam Malik)
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
Credit To- http://www.islamicleaks.com/
No comments:
Post a Comment