Pages

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNA


AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

HZ SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(RH) KA FATAWA


IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE BAARE ME AAPKI ZABAN ALLAH KE RASOOL (SAW) KI TARAH TARJUMANI KARTAI HAI,

IRSAAD HOTA HAI,

"FA-INNA QIR-ATAHA FARI-ZATUN WAHIYA RUKNON TAB-TUS-SALATU BITARKIHA"

TRANS: SURAH FATIHA PADHNA FARZ HAI AUR YE SURAH NAMAAZ KI BUNIYAD HAI, ISKE NA PADHNE SE NAMAAZ NAAKIS HO JAATI HAI,


BHAIYON! BATAO ISSE BADKAR AUR ITMINAN KI SURAT AAP KE LIYE AUR KYA HO SAKTI HAI KI HZ . PEERANE PEER NE( ALLAH KI LAAKHON RAHMATEIN HO) HUZOOR (SAW) KI HADITHON KI TASDEEQ WA TAYID ME KAISA FAISLA KIYA HAI AUR SAAF KAR DIYA HAI KI SURAH FATIHA KE CHHOD DENE SE NAMAAZ NAHI HOTI

Credit To :-http://islamicleaks.blogspot.com/

17 comments:

  1. Add a comment... asalam o alikum bhai agar ap iska hawala be de to mehrbani hogi apki kis kitab mai hai

    ReplyDelete
  2. https://www.facebook.com/photo.php?fbid=788745594528062&set=p.788745594528062&type=1&theater

    ReplyDelete
  3. Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Namaz iss Tarah Parho Jiss Tarah Mujhe Parhte Huwe Dekhte ho. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis num 631
    Namaz_e_Nabvi SallALLAHu AlaihyWasallam
    1_Takbeer_e_Teh reema ka bayaan Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Namaz ( k Doraan men Baat Cheet ) ka Haraam Hona Takbeer hi k Baad hey.or iss (Baat Cheet) ka Halaal Hona Salam hi (k Baad) hey. Abu Dawood Kitab_ut_Tahara at Hadis Num 61
    2_Qayaam ka bayan Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Khare hokar Namaz Parho, Taqat na ho tu Beth kar parh lo, iski Taqat na ho tu Phir Lait kar Namaz Parh lo. Sahi Bukhari Kitab_ut_Taqsee r Hadis Num 1117

    ReplyDelete
  4. 3_Rafaydain (Yani dono Hathon ko Uthana) Abdullah Bin Umar RaziyALLAHU Anhu farmate hen k Mene Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ko Takber kehtehuwe dekha k aap Takber Kehte huwe apne dono Hathon ko Kandhon k Baraber uthate they. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis Num 738
    4_Hath Baandhna Sahal bin Saad RaziyALLAHU Anhufarmate hen k Logon ko Hukum diya Jata tha k woh Namaz men Dayaan hath ( right hand ) Baayen ( left ) Ziraa (the part of hand which starts from the middle finger of the hand and its end on elbow) par Rakhen. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis Num 740

    ReplyDelete
  5. 5_Seney Par Hath Baandhna Waaiel Bin Hajar RaziyALLAHU Ta’ala Anhu Farmate hen Mene Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam k sath Namaz Parhi tu Aapne Apna Sedha Hath ulte Hath par Rakh kar ( Dono Hath) Seney par Baandhe. Sahi ibne Khuzaima Kitab_Us_Salat Jild 1 Page 243 Hadis Num 479 NOTE Naaf k Nechey Hath Baandhne ki koi Sahi Hadis Nahi Hey.
    6-Dua_e_istifta ah Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam Namaz men Takber_e_Tehree ma k baad yeh dua parha karte they. Tarjuma”( Translation) Aey ALLAH mere or mere Gunaahon k Darmiyan dori daal de jiss tarah tu ne Mashriq or Maghrib k Darmiyan dori daal rakhi hey.Aey ALLAH mujhe mere Gunaahon se iss tarah Saaf kar dek jiss tarah Sufaid Kapre se Mail Saaf kiya jata hey.Aey ALLAH mere Gunaahon ko Paani, Baraf or Oulon se Dhoo Daal. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadis Num 744 NOTE Arbi ibaarat k liye Asal Kitab ki Taraf Rouju karen.jazakALLA H

    ReplyDelete
  6. 7_Qiraat ka bayan Surae Fatiha Parhna Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne farmaya Jiss Shakhs ne Surae Fatiha nahi Parhi uss ki Namaz nahi. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis Num 756 OR Musnad_E_Ahmad ki ek Riwayat men hey k kuch Sahabae Karam Rizwanullahi Alaihim Ajmaeen Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam k Pechey Qiraat karte They tu aap Sallallahu Alaihy Wasallam ne unn ko apne PecheyQiraat karne se mana Farmaya orFarmaya k imam k Pechey Surae Fatiha k ilawa kuch nahi Parha karo kiyo k jo Surae Fatiha nahi Parhta uss ki Namaz nahi hoti. Musnad_E_Ahmad Hadis Num 23047
    8_Aameen Kehna Sayadna Waaiel bin Hajar RaziyALLAHU Anhu Farmate hen kNabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam jub Walzz_Zualleen Parhte tu Buland Awaaz se Aameen kehte. Abu Dauood Kitab_us_Salat HadisNum 932 Sayadna Abdullah bin Zubair RaziyALLAHU Anhu or unn k Muqtadiyon ne iss Qadar Buland Awaaz se Aameen kahi k Masjid Goonj uthi. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Taaleeqan

    ReplyDelete
  7. 9_Surae Fatiha k Sath Dosri SuratMilana Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Ek Shakhs se Farmaya Jub tu Qibla Rukh Hojaey tu Takbeer (Tehreema) keh.Phir Surae Fatiha Parh, Phir jo tu Parhna Chahta Hey Parh. Sahi ibn_e_Habban Hadees Num 1787
    10_Ruku men jate huwe Or Ruku se Uthne k Baad dono Hathon ko Kandhon tak Uthana Abdullah ibne Umar RaziyALLAHUAnhu Farmate hen k Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam Jub Namaz Shuro Kartetu Kandhon tak apne dono Hathon ko Uthate or isi Tarah Ruku men jate Waqt or Ruku se sir Uthate Waqt karte They.or dono Sajdon k Darmiyan Hathon ko nahi Uthate They. Sahi Muslim Kitaab_us_Salat Hadees Num 861
    11_Tamaam Sahabaa se Rafaydain ka Saboot imam Saeed bin Jubair Rehmatullah Alaihy ne Rafaydin kmutalliq Farmaya k yeh ek aise Chez hey k Jiss k sath Namaz ki Zeenat Hojati hey.or Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam k Sahabaa Shrou Namaz men ,Ruku k Waqt, or Ruku se sir uthaane k baad Rafaydain Karte they. Sunan_ul_Kubra Jild 2 Page Num 109 Hadees Num 2525

    ReplyDelete
  8. 12_Ruku ka Bayaan Abu Humaid Saadi raziyALLAH Anhu Farmate hen k Jub Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam Ruku Karte tu Dono Hath Ghuthnon par Mazbotise Jamaa lete.apni Ungliyon ko Kholte, phir apni Kamar ko iss Tarah Jhukate k Sir na Opar Utha Huwa Hota or na Bilkul Jhuka Huwa hota. Abu Dawood Kitab_us_Salat Hadees Num 731
    13_Ruko or Sajdah itmenan se Karna Huzaifa bin Yaman RaziyAllahu Anhu ne ek Shakhs ko Namaz Parhte huwe Dekha woh Ruko orSajdah Pori Tarah ( itmenan se ) nahi Karta tha tu Huzaifa RaziyAllahu Anhu ne uss se Farmaya k tu ne Namaz hi nahi Parhi or agar tu Mar gaya ( isi Tarah Namaz Parhte huwe ) tu, tuuss Tarike par nahi Marega Jiss par ALLAH ne Muhammad Sallallahu Alaihy Wasallam ko Paida kiya. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadees Num 754 Lehaza Apni Namazon ki Fikar Karen or Namaz Men Aetedaal Yani Thehrao Lekar Ayen.JazakALLAH
    14_ruku se uth kar dua parhna Ruku se uth kar pehle dono Hathon ko Kandhon tak Uthaen jis ki Daleel Post num 10 men Guzar Chuki hey phir Yeh Dua Parhen.Arabic ibaarat k liye Bookki Taraf Ruju Karen. Translation. …Aey hamare Parwardigaar har qisam ki ta’areef sirf aap k liye hey.aasmano or zameen or har uss chez k bharao k baraber jo aap chahen or bande ne jo apki ta’areef or buzrugi ( bayan ) ki woh aap hi k laaiq Hey or hum sub aap k hi bande hen.Aey ALLAH koi rokne wala nahi uss chez ko jo aap ne di or koi dene wala nahi uss chez ko jo aap ne rok di.or kisi dolat_mand ko uss ki dolat_mandi apke azaab se nahi bacha sakti. Sahi muslim kitab_us_salat hadisnum 477

    ReplyDelete
  9. 15_RUKU SE SAJDE MEN JAANE KA TARIKA Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne farmaya Jub tum Sajde men jao tu Ount ki Tarah na Betho Balke Pehle hath Rakho phir Ghuthne Rakho. Abu Dawoud Kitab_us_Salat Hadees Num 840 Sahabiye Rasool Sallallahu Alaihy Wasallam ka amal. Naafay Rematullah Alaihy Farmate hen k Abdullah ibne Umar RaziyALLAHU Anhu Ghuthno se Pehle apne Hath Rakha karte hey or Farmate They Rasoollullah Sallallahu Alaihy Wasallam Aisa hi Kiya Karte They. Sahi ibne Khuzaima Jild 1 Page 318
    16_ Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Hamen (ALLAH ki taraf se ) Hukum Diya Gaya hey k hum Saat (7) Haddiyon par Sajdah Karen or Apne Kapre or Baal ( Hair) Na Sameten. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadees Num 810

    ReplyDelete
  10. 17_Sajdah Karne ka Tarika Abu Humaid Sa’adi RaziyALLAHu Anhu Farmate hen k jub Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam Sajdah karte tu Haath Zameen apr Rakhte or Baazu na Zameen par Bichate or na Samet kar Pehlu se Laga lete. Sahi Bukhari Kitab_ul_azan Hadees Num 828
    18_ Sajdah men Pairon ki Kefiyat Amma Aisha RaziyALLAHu Anha Farmati hen mene Rasoolullah SallALLAHu Alaihy Wasallam ko Raat ko Bistar se ghum paya menunn ko Talash karne lagi tu mera hath apke Qadmon k ander waale hisse par laga or aap Sajdah ki Halat men they.aap k Paaon khare they Eariyan mili hui theen or Aap ne Paoon ki Ungliyon ko Qibla rukh kiya huwa tha. Sahi Muslim kitab_us_salat Hadees Num 1090
    19_Dono Sajdon k Darmiyan Bethna Baraa bin Aazib RaziyALLAHu Anhu Bayan Karte hen k Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam ka Sajdah or Ruku or dono Sajdon k Darmiyan ( Bethna ) Takriban Baraber hi hota tha. Sahi Bukhari Kitab_ul_azaan Hadees Num 780 Muhammadilibrar y.com Muhammadi Sms Club

    ReplyDelete
  11. 20_Jalsa_e_ista raahat Maalik bin Huwairas RaziyALLAHuAnhu Farmate hen k Mene NabiyeAkram SallALLAHu Alaihy Wasallam ko Dekha aap jub TaaqRakat men Hote tu ( Yani Pehli orTeesri Rakat men ) Uss Waqt tak nahi uth_te They k jub tak k Thori der Beth na Lete. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadees Num 823 Muhammadilibrar y.com Muhammadi Sms Club
    21_ Dosri Rakaat Abu Hurairah RaziyALLAHu Anhu Bayan Farmate hen k jub Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam Dosri Rakaat k liye Khare Hote tu ALHAMDULILLAHE RABBIL AALAMEEN se Qiraat Shuro Karte or ( Duaey isteftaah parhne ) k Liye Khaamosh na Hote. Sahi Muslim Kitab_ul_Masaji d Hadees Num 1356 [Note] Baaki Tamam Rakaat isi Tarah Parhen Jese Pehli Rakaat Parhte hen.

    ReplyDelete
  12. 20_Jalsa_e_ista raahat Maalik bin Huwairas RaziyALLAHuAnhu Farmate hen k Mene NabiyeAkram SallALLAHu Alaihy Wasallam ko Dekha aap jub TaaqRakat men Hote tu ( Yani Pehli orTeesri Rakat men ) Uss Waqt tak nahi uth_te They k jub tak k Thori der Beth na Lete. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadees Num 823 Muhammadilibrar y.com Muhammadi Sms Club
    21_ Dosri Rakaat Abu Hurairah RaziyALLAHu Anhu Bayan Farmate hen k jub Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam Dosri Rakaat k liye Khare Hote tu ALHAMDULILLAHE RABBIL AALAMEEN se Qiraat Shuro Karte or ( Duaey isteftaah parhne ) k Liye Khaamosh na Hote. Sahi Muslim Kitab_ul_Masaji d Hadees Num 1356 [Note] Baaki Tamam Rakaat isi Tarah Parhen Jese Pehli Rakaat Parhte hen.

    ReplyDelete
  13. 25_Aakhri Tash’hud Abu Humaid Saadi RaziyALLAHu Anhu Farmate hen k Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam jub Akhri Rakat men Tash’hud men Beth_tey tu Daayen ( Right ) Paaon ko Khara Karte or Baayen ( Left ) Paaon ko (Daayen Paoon ki Pindli k Necheyse ) Bahar Nikaalte or Zameen par beth Jaate. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadees Num 828
    26_Akhri Tash’hud ki dua Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam ne Farmaya k jub Tum men se koi Tash’hud (men Attahiyat or Durood_e_ibraah imi k baad dua) Parhe tu 4 Chezon seALLAH ki Panah Pakre. ( or ) Kahe ya ALLAH men Panah Pakarta honTeri Jahannum k Azaab se or Qabar k Azaab se or Zindagi or Maut k Fitne se or Dajjal k Fitne se. Sahi Muslim Kitab_ul_Masaji d Hadees Num 1324 NOTE: Arabic ibarat k Liye Asal Kitab ki Taraf Ruju Karen Yahan hum ne sirf Translation Naqal ki hey.JAZAKALLAH
    27_Salam ka Bayaan Duaen Parhne k Baad Daaeyn Taraf ( Right Side ) Chehra Pherenor Kahen Assalamo Alaikum wa Rahmatullah.Phi r Baaeyn Taraf ( Left Side ) Chehra Pheren or Kahen Assalamo Alaikum Wa Rahmatullah.Or Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam iss had tak Apna Chehra Pherte they k aap k Rukhsaaron ki Sufaidi Dekhi Jaati thi. Abu Dawood Kitab_us_Salat Hadees Num 996

    ReplyDelete
  14. Assalam-O-Alaikum
    If you want to make your dream journey the trouble free and stress less then Al Hijaz is the place to trust for your spiritual journey. To make your Umrah unforgettable trip of your life give us an opportunity to arrange one of the Best Umrah Tours of your entire life.

    ReplyDelete
  15. Assalam-O-Alaikum
    brother,
    Imam ky piche dursi rikaat ma kaya perhana chahiye kindly answer me

    ReplyDelete
  16. Aaj ke jamat ahle hadees surah fatha ko farz karar de rahe
    Jabke quran me rab ka irshad hai
    Jaha se asani ho waha se quran padho

    73-20

    Muatta imam malik hadees 15-18
    Sunan abu dawood 893

    Jisne ruku pa liya uski rakat ho gayi jiska ruku choota uska sajda bhi gaya

    Yaha pe muktadi ki rakat ho ja rahi
    Bina surah fatiha ke.
    Bakaul tumhare to ni hogi
    Iske bare me kya kahenge

    ReplyDelete

ShareThis