Pages

MAYYIT PAR RONA AUR MAYYIT KA SOG(GHAM)






Bismillahirrahmanirraheem



MAYYIT KA SOG(GHAM)



" HZ zainab binte zahash ra ke bhai ka inteqaal ho gaya, 3 din baad unhone khusbu mangwaayi aur usko mala, phir kaha mujhe khushbu ki zarurat nahi thi magar maine aap(sws) se suna ki jo aurat allah taala aur qayamat par imaan rakhti ho uske liye halaal nahi ki 3 din se zyada kisi mayyit ka sog kare, siwaaye shawhar ke jiska sog 4 mahine 10 din hai"


( sahih bukhari, kitabul janaize hadith 1282,5335)



" hz umme atiya ra ka ladka marr gaya, teesre din unhone zardi mangwa kar badan par mali aur kaha-" hamare shawhar ke elawa kisi aur (ki maut) par 3 din se zyada sog karna mana hai)


(sahih bukhari, hawala saabiq hadith 1278,313)



MAYYIT PAR RONA:



Agar mayyit ko dekhkar rona aaye aur aansu jaari hon to mana nahi, isliye ki yah aap se aap rona hai jayez hai,

nabi(sws) ne farmaya:-" allah taala aankh ke rone aur dil ke pareshaan hone ki wajah se Azaab nahi karta balki zabaan ke chalaane aur waawela karne se azaab karta hai"


(sahih bukhari janaiz hadith 1304, muslim janaiz 924)

note: yani nauha, maatam aur ban karna mana hai aur azaab ki wajah hai


nabi(sws) ne farmaya:-" (allah ke yahan) wah sabr bharose layak hai jo sadma ke shuru me ho"


(bukhari janaiz 1302, muslim janaiz 926)



yani waawel aur ban karne ke baad sabr karna, sabr nahi hai !! Asal sabr yah hai ki musibat ke waqt sabr se kaam liya jaaye aur gham zaahir karne ke fitri tareeqe ke elawa aur kuch na kiya jaaye



"hz abdullah bin masud ra riwayat karte hain ki aap(sws) ne farmaya:-" wah hamme se nahi hai jo gaal(chick) peete, girebaan faade, aur jihalat ki pukaar pukaare(yani noha aur waawel kare)


(bukhari kitabul janaiz 1294,1297,1298, muslim kitabul iman 103)



rasullullah(sws) ne farmaya:- main bari(free) hun usse jo (mayyit ki musibat me) sar ke baal noche aur chillakar Roye aur apne kapde faade"


(bukhari kitabul janaiz 1296, muslim kitabul iman 104)


aap(sws) ne farmaya:- allah taala farmata hai- "mere (us) momin bande ke liye jannat hai jiske pyaare ko main ahle duniya se kabz karta hun aur wah(uski maut par) sabr karta hai"


(sahih bukhari kitabul riqaaq 6424)



rasullulah(sws) ne farmaya:- jihalat ke 4 kaam aise hai jinhe meri ummat ke log bhi karenge.

1- apne khaandaan(caste) par fakhr karna.


2- kisi ki jaat(caste) me taan karna


3-sitaron ke zariye paani talab karna


4- nouha karna

(aur yah bhi farmaya)" agar noha karne waali aurat marne se pahle tauba na kare to qiyamat ke din us par ghandak aur khaarish ka kurta hoga"


( sahih muslim janaiz 934,)

note: jaahilon ka aqeeda tha ki sitaron ki chalat firat aur tulu ghrub ka baarish ke saath gahra talluk hai aaj kal najoomi ke kaarname bhi unki shirkiya khurafaat jaisi hai, allah taala mahfuz rakhe


rasullullah(sws) ke bete ibraheem jab aakhiri waqt me the to aapne use uthaya aur farmaya:-" aankh aansu baha rahi hai aur dil gham zada hai magar iske bawajood ham kuch nahi kahenge siwaaye us (baat) ke jisse hamara rabb raazi ho, aur aiy ibraheem! Ham teri judaai ke sabab gham zada hain"


(sahih bukhari janaiz 1303, muslim fazail 2315)


note: malum huwa ki allah taala mahboob ki muhabbat me aakar apne faisle nahi badalta balki jo chahta hai so karta hai,



rasullah(sws) ka nawaasa marr gaya to aapki aankhon se aansu jaari ho gaye, hz saad bin ubada ra ne arz kiya, ya rasullullah(sws)! Yah kya hai? Aapne farmaya:-" yah wah rahmat hai jo allah ne apne bandon ke dilo me paida ki hai aur allah apne bandon me se rahmat karne walon par hi rahmat karta hai"


(bukhari janaiz 1284,5655,6602,6655, muslim janaiz 923)



nabi(sws) ne farmaya:-" jis aurat ke 3 bacche mar jaayen to wah(uske liye) jahannum ki Aag se aad banenge ek aurat ne pucha agar 2 bacche mar jaayen to? Aapne farmaya:-" 2 bacche bhi", hz abu hurairah ra se riwayat hai ki isse muraad we bacche hain jo abhi baaligh na hue hon"


(sahih bukhari janaiz 1240,muslim 2633)


note: yah tab hai jab wah aurat allah ke faisle(baccho ki maut) par sabr kare


ek aur riwayat me hai ki allah taala un baccho par (apni) rahmat aur fazl ke sabab us shakhs(yani unke baap ko) jannat me daakhil karega"


(bukhari 1248, 1381)

note: basharte baap ka aqeeda sahih ho...



No comments:

Post a Comment

ShareThis