Bismillahirrahmanirraheem
barelwi hazraat ka aqeeda hai ki ambiya kiram aur auliya kiram apni qabron me zinda hain, maut ke baad bhi we duniyawi zindagi ki tarah uthte baithte sote aur jaagte hain apne mureedon ki baaton ko sunte hain aur unki maangon(demands) ko poori karte hain
zaahir hai ki yah aqeeda kitab wa sunnat se to saabit nahi hai albatta bahut si hikaayte aisi hain jinse is aqeede ki daleel saabit ho jaati hai, khan sahab barelwi likhte hain:-
" imam abdul wahab shorani kudus sirrahu har saal hazrat sayyidi ahmad badwi kabeer ra ke urs par haazir hote, ek baar unhe der ho gayi to maujawaron ne kaha ki tum kahan they ? Hazrat baar baar mazaar mubarak se parda utha kar farma rahe hain.
Abdul wahab aaya? Abdul wahab aaya?
To abdul wahab kahne lage-" kya hujoor ko mere aane ki khabar hoti hai ?"
mujawaron ne kaha-' khabar kaisi ? Huzoor to farmate hain ki kitni hi door se koi shakhs Mere mazaar par aane ka iraada kare to main uske saath hota hun aus uski hifazat karta hun"
( malfuzaat 275)
" do bhai allah ke raaste me shaheed ho gaye unka ek teesra bhai bhi tha jo zinda tha, jab uski shadi ka din tha to dono bhai bhi shadi me shirqat ke liye tashrif laaye, wah bada hairaan huwa aur unse kahne laga ki tum to marr chuke they, unhone kaha ki allah ne hamen tumhari shadi me shareeq hone ke liye bheja hai,
aur in dono (marne waale) bhaiyyon ne apne teesre bhai ka nikaah padhaya aur wapas chale gaye"
(hikaayat e rizwiya 116)
yani wafaat ke baad we duniya me aaye, shadi me shamil hue, nikaah padhaya aur waapas apni jagah chale gaye
yah daleel hai is baat ki ki nek log marne ke baad bhi zinda hote hain aur duniya se unka talluq khatm nahi hota, INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAZIUN
ek aur daleel dekhiye-
"Abu saeed faraz kudus sirrahu raawi hai ki main makka moazzama me tha , baab bani shayba par ek jawan mara pada tha, jab maine uski taraf nazar ki to mujhe dekhkar muskuraaya aur kaha-
" aiy abu saeed ! Kya tum nahi jaante ki allah taala ke pyaare bande (marne ke baad bhi) zinda hote hain jabki we zaahir me marr jaate hain, we to ek ghar se dusre ghar ki taraf lautte hain"
(majmua rasail 2-243)
aage suniye-
" sayyad abu ali kudus sirrahu riwayat karte hain- " maine ek fakeer(sufi) ko qabr me utaara, jab kafan khola unka sar mitti par rakh diya, fakeer ne aankhen khol di aur mujhse farmaya-' aiy abu ali ! Tum mujhe uske saamne zaleel karte ho jo mere naaz uthata hai ?
Maine arz ki- aiy mere sardar ! Kya maut ke baad bhi tum zinda ho ?
Farmaya- " main zinda hun aur khuda ka har pyaara zinda hai, beshak wah izzat jo mujhe qayamat me milegi usse main TERI MADAD KARUNGA "
(Majmua rasail )
hikaayat ki surat me ek aur daleel dekhiye-
" ek bibi ne marne ke baad khwaab Me apne ladke se farmaya-" mera kafan aisa kharaab hai ki mujhe apne saathiyon me jaate sharm aati hai (saabit yah karna chaahte hain ki murde ek dusre se mulaqaat karte hain) parson falan shakhs aane waala hai uske kafan me accha kapda rakh dena, subah ko sahabjaade ne uthkar us shakhs ka pada kiya, malum huwa ki puri tarah theek hai aur use koi marz nahi
teesre din khabar mili ki uska inteqaal ho gaya hai ladke ne fauran bada accha kafan silwa kar uske kafan me rakh diya, aur kaha, yah meri maa ko pahunchadena', raat wah bibi sapne me apne bete se boli khuda tumhe ajar de tumne bada accha kafan bheja"
(hikaayat rizwiya)
" jaunpur ki ek nek ladki marr gayi use kahin dafan kar diya gaya, isi tarah jaunpur ka ek gunahgaar shakhs madeene me dafan kar diya gaya, phir koi sahab hajj ko gaye to dekha ki madeene me gunaahgaar ki qabr me to ladki hai aur jaunpur me us ladki ki qabr we wah gunahgaar hain"
(mawaize naeem 24)
Credited To :-http://islamicleaks.blogspot.com
No comments:
Post a Comment