Pages

" NADAAN BARELWION KO EK NASIHT" (RAMZAN SPECIAL)


Bismillahirrahmanirraheem



KUFR KA FATAWA LAGAANE WALON KE MUTTALIK EK HADITH KA BAYAN:



Hz jundub bin abdullah bajli ra se riwayat hai ki janab rasullah(sws) ne mushkireen ke muqaable me musalmanon ka ek lashkar rawana farmaya, dono lashkaron ka aapas me saamna huwa, (jung ke dauran aisa huwa ki) mushrikeen me se ek mard jis musalman ko chahta qatl kar deta, (uske haath se bahut musalman shahid ho gaye), ek musalman ne use gaafil paakar us par hamla kiya, hz jundub ra ne farmaya:- " sahaba kiram ra farmaya karte they ki wah musalman hz usama bin zaid ra they, jab unhone us par talwaar uthayi to usne(fauran) kah diya: la illaha illallah, sahabi ne (phir bhi) use qatl kar diya, (waapsi par) ek sahabi ne aakar rasullullah (sws) ko (fatah ki) khushkhabri di, nabi(sws) ne unse haalaat puche, unhone bataye aur us sahabi ki baat bhi batayi ki unhone yah kaam kiya , nabi(sws) ne us sahabi ko bulakar pucha:- " tumne us shakhs ko kyon qatl kar diya? "unhone arz kiya:- usne musalmanon ko bahut nuksaan pahunchaya aur falan falan shakhs ko shaheed kiya ", unhone kai logon ke naam liye aur kaha:-" maine us par hamla kiya, usne jab talwaar dekhi to LA ILAHA ILLALLAH kah diya", rasullullah ne farmaya:-" phir tune use qatl kar diya?" unhone kaha: "ji haan", aap(sws) ne farmaya:-" qiyamat ke din jab la illaha illallah haazir hoga to tum kya karoge?" unhone kaha:-" ya rasullullah ! Mere liye gunah ki maafi ki duwa kijiye",aap(sws) ne farmaya:-" qiyamat ke din jab la illaha illallah haazir hoga to tum kya karoge?" huzur(sws) baar baar yahi farmate rahe:-" qiyamat ke din jab la illaha illallah haazir hoga to tum kya karoge?"


(sahih muslim, kitabul iman ,bab tahreem h97)






Hz usama bin zaid ra ne khud is waqeye ko bayan kiya hai,

wah farmate hain:-" janab rasullullah sws ne hamen ek daste ki soorat me rawana kiya, hamne subah subah juhayna ke gaao(village) hurqaat par hamla kiya, maine ek aadmi ko jaa liya, usne kaha:- la ilaha illallahu, lekin maine us par waar kar diya, phir mujhe uske baare me pareshaani hui, maine nabi akram(sws) ko yah waqeya bataya, rasoolullah sws ne farmaya:-" kya usne la ilaha illallah kah diya tha, phir bhi tumne use qatl kar diya?" maine arz kiya:-" ya rasoollullah ! Usne hathyar se darkar kalmah padha tha", nabi(sws) ne farmaya:-" kya tumne uska dil cheer kar dekh liya tha ki us(dil) ne kaha hai ya nahi? Aap(sws) baar baar mujhe yahi baat farmate rahe, yahan tak ki main yah tamanna karne laga ki kaash main isi din musalman huwa hota"


(sahih muslim, kitabul iman, bab tahreem h 96)




Is hadith ki roshni me ab zara barelwiyyat ke kufr ke fatawon ka jayeza lete hain..... Barelwi hazraat " KAFFIR " ka fatawa lagane me bade be-baak mane jaate hain..... Unke ulama to door ki baat.. Har barelwi kaffir ke aise fatawe laga hai jaisa uska paas direct allah ki wahi utar rahi ho......


Is hadith se ye bhi pata chala ki dil ki niyyat bhi saabit hai jaisa ki aap(sws) ne kaha:-" kya tune dil cheer kar dekh liya tha".......


Yani ye bhi baat pata chali ki qalmah tayyaba se islam me daakhila ho jaata hai......

Ab aise me ko AHLE IMAN ko kaffir kahe to kahan tak jayez hai...


Barelwi ki nazar me imamul haramain, dr zakir naik aur deegar ahle hadith ulama tak ko nahi chhoda......


Ummeed karta hun ki barelwi hazraat is hadith ko samjhenge....... Aur padhte hi ye ahad karenge ki aaj se kisi ko kaffir na kahenge kyonki we logon ke dilon se waqif nahi..... Dilon ke bhed to sirf allah hi jaanne waala hai......


RAMAZAN KE IS BA BARKAT MAHINE ME ALLAH UNHE MAAF KARE JO KUFR KA FATAWA LAGA KAR MARR GAYE..... AUR JO HAYAT HAIN UNHE CHAHIYE KI KHOOB RO ROKAR ALLAH KI BAARGAAH ME DUA KAREN.... AUR MAAFI TALAB KAREN..... ISKO TANQEED NA SAMJHE BALKI RAMZAN KE MAUKE PAR GALTI SUDHARNE KI EK SALAAH SAMJHE........ KYONKI AAP(SWS) KI NARAAZGI SE BACHNE KE LIYE.... IS RAMADAN ME AHAD KAREN KI AAJ SE KABHI KUFR FATAWA NAHI LAGAYENGE

AMEEN



ShareThis