Pages

HARAAM ROZON KA BAYAN


Bismillahirrahmanirraheem



HARAAM(INVALID) ROZON KA BAYAN


HARAAM ROZE KAUN SE HAIN?


1- Eid ul fitr wa Eid ul adha ke din roza rakhna,

hz umar(ra) farmate hain:-" do dinon me roza rakhne se rasoollullah(sws) ne mana kar diya hai, ek Eid ul fitr ka din aur dusra qurbani ka din"

(muslim)


2- tashreeq ke 3 dino me(11,12,13, dhul hijjah ka), isliye ki aap(sws) ne mina me ek elaan karne waale ko bheja jo unchi aawaaz se elaan kar raha tha ki in dinon roze na rakho yah khane, peene, aur shahwat poori karne ke din hain aur ek riwayat me hai ki yah allah ke zikr ke din hain


3- "Maahwaari aur nifaas ke dino me roze rakhna", isliye ki maahwari(periods) aur nifaas se roza faasid ho jaata hai.

Aap(sws) ka farman hai:-" kya aisa nahi ki jab aurat ko haiz aata hai na wah namaz padhti aur na hi roze rakhti hai, aur yahi uske deen ka nuksan hai"

(bukhari)

4- bimaar jise roza rakhne se marne ka andesha hai , isliye ki allah taala ka huqm hai:

" apne aapko qatl na karo beshak allah tumhare saath meharbaar hai"


ShareThis