Pages

YAZID KO RAHMAHULLAH KAHNA NA SIRF JAYEZ BALKI MUSTAHAB (IMAM GHAZALI RH KA FATAWA)


Bismillahirrehmanirraheem


" Imam ghazali (rh) se sawal kiya gaya ki us insaam ke baare me kya huqm hai jo yazeed par lanat karta hai? Kya us par zinakari ka hukm lagaya ja sakta hai?? Kya us par lanat ka huqm hai?? Kya yazid waqai me hz hussain ra ko qatl karne ka iraada rakhta tha ya uska maqsad sirf apni hifazat thi??
Usko (ra) kahna bahtar hai ya us se bachna bahtar hai?"


Imam ghazali rh ne jawab diya musalman par lanat karne ka koi huqm nahi, jo insaan kisi musalman par lanat karta haƬ wah khud lanat waala hai rasullullah ne farmaya hai:

" Musalman lanat karne wala nahi hota" iske elawa hamen to hamari shariat islamia ne jaanwaron tak par lanat karne se roka hai to phir kisi musalman par lanat karna kis tarah jayez ho jayega? Jabki musalman ki hurmat(ijjat) hurmat kaaba se bhi jyada hai jaisa ki hadith nabi sws me bayan hai

(sunan ibne majah)

Yazid ka islam sahi taur par saabit hai jahan tak Hz husain ra ki shahadat ki waqeye ka talluq hai to is baare me koi sahi saboot maujood nahi ki yazid ne unka qatl kiya ya qatl ka hukm diya ya us par razamandi zahir ki, jab yazid ke baare me ye saboot ko hi nahi pahunchti to phir bura kahna bhi haram hai, Allah taala ne farmaya hai -" tum badakhlaki karne se bacho ki kuch badakhlaki gunah ke dayere me aa jaati hai"

aur nabi sws ka irshad hai-

"allah taala ne musalman ke khoon, maal, izzat wa aabru aur us ke saath badakhlaki karne ko haraam qarar diya hai"

jis insaan ka khayal hai ki yazid ne hz hussain ra ke qatl ka huqm diya ya unke qatl ko pasand kiya, wah pahle darje ka bewakoof hai, kya yah haqiqat nahi ki aisi soch rakhne waale ke daur me kitne ki shah, badshahon ko qatl kiya gaya lekin wah is baat ka pata chalane me kaasir raha ki kin logon ne un ko qatl kiya aur kin logon ko is qatl ko pasand ya napasand kiya jabki unke qatl uske bilkul Nazdeek me aur uske zamane me hue aur usne unka khud tahkikaat kiya, phir us qatl ke baare me kya kaha ja sakta hai jo bahut door ke ilaaqe me huwa aur jispar 400( imam ghazali rh ke daur tak) ki muddat bhi gujar chuki hai..

Iske elawa is waqeye par girohbandi ki moti tahen chad gayi hain aur riwayatein ke dher laga diye gaye hain jis ke bina par asal haqiqat ka suraag lagana namumkin hai, jab maamla yah hai ki haqiqat se naqaab uthana jayez hi nahi, isliye har musalman ke saath aache akhlaq rakhna zaroori hai, phir haq pasand (ahle sunnat) ka mazhab to yah hai ki kisi musalman ke baare me yah saabit bhi ho jaaye ki us ne kisi musalman ko qatl kiya hai tab bhi wah qaatil musalman. Kaafir nahi hoga, is liye ki qatl ka gunah kufr nahi ek shakht gunaah hai, phir yah bhi haqiqat hai ki musalman kaatil marne se pahle pahle tauba kar hi leta hai aur shariat ka huqm to yah hai ki agar koi kaafir bhi kufr se Tauba karle us par bhi lanat ki ijajat nahi , phir yah lanat aise musalman ke liye kyon jayez hogi jisne marne se pahle qatl ke gunah se tauba kar li ho?

Aakhir kisi ke paas is baat ki kya daleel hai ki hz hussain ra ke kaatil ko tauba ki taufeeq naseeb nahi hui aur wah tauba kiye bina hi mar gaya hai jab ki allah ka tauba ka darwaja har waqt khula hai

WAHUWAL LAZI YAQBALUL TAUBATA IBADIHI

(ASSHURA 42/25)

Baherhaal kisi tarah se bhi aise musalman par lanat karna jayez nahi jo marr chuka ho, jo insan kisi mare hue musalman par lanat karega wah khud allah ka nafarmaan hai,

Agar (maan len) lanat karna jayez bhi ho lekin lanat ki bajaaye khamoshi ikhteyar kiye rakhe to aisa insan gunahgaar na hoga balki agar koi insaan apni zindagi me ek baar bhi iblees par lanat nahi bhejta to qayamat ke din us se yah nahi poocha jayega ki toone iblees par lanat kyon nahi ki?

Albatta agar kisi ne kisi musalman par Lanat ki to qayamat ke din us se zaroor poocha ja sakta hai ki toone us par lanat kyon ki thi? Aur tujhe yah kaise malum ho gaya ki wah lanati hai? Jab ki kisi ke kufr wa imaan ka masla gaib ka ilm hai jise allah ke siwa koi nahi jaanta , haan shariat ke zariye hamen yah zaroor malum huwa ki jo insaan kufr ki haalat me mare wah lanati hai.


Jahan tak yazid ko "rahmatullah" ya "rahimahullah" kahne ka maamla hai to yah na sirf jayez balki MUSTAHAB (accha kaam) hai balki wah khud hi hamari un duwaon me shaamil hain jo ham tamam musalmano ki maghfirat ke liye karte hain ki

ALLAHUMMAGHFIR LIL MUSLIMEEN WAL MOMINAAT

" YA ALLAH! TAMAM MOMIN MARDON AUR AURTON KO BAKHS DE"

"isliye ki yazeed bhi yaqeenan momin tha"


(WAFYATUL AAYAAN 3/288, TABA BAIRUT)


ALLAH HAMEN SAHABION PAR BADAKHLAKI SE BACHAYE.... Ameen

CREDIT TO :-http://islamicleaks.blogspot.com/

5 comments:

  1. Jabki Yazeed Ke Mutalliq Ulma e Islam Ka Nazariya Yeh Hai:
    ...
    1) Hazrat Abu Bureza Aslami Radi Allah Anhu Farmate Hain Ke Jab Imam Hussain Radi Allahu Anhu Ka Sare (Head) Mubarak YazeeD k Saamne Rakha Gaya To Yazeed Apni Chahri Imam Hussain Ke Laboon Par Maarne Laga....
    (Tareeq Tabri Jild 5 Page 465)

    2) Imam Ibne Hajar Askalani Alaihi Rehma Likhte Hain K Kisi Ne Hazrat Umer Bin Abdul Aziz Radi Allahu Anhu K Darbar Me Yazeed Ko Ameer Ul Momineen Kaha Apne Us Ko 20 Koron Ki Saza Di…
    (Tahzeeb Ul Tehzeem Jild 11 Page 361)

    3) Allama Zehbi Alaihi Rehma Farmate Hain K Yazeed Ek Maayoob Insaan Tha Woh Is Kaabil Nahi Tha Ke Usse Riwayaat Li Jaati.
    (Mezanul Ietadal Jild 4 Page 440)

    4) Imam Gazali Rehmatullah Alaihi Farmate Hain K Imam Hussain ke Kaatil Aur Aap ke Katl Ka Hukum Denewale Par Allah Ki Lanat Ho.
    (Aehaya Ul Uloom Jild 3 Page 122)

    5) Muhaddis Royani Ne Apni Masnad Me Hazrat Abu Dawaood Radi Allahu Anhu Se Riwayat Ki Hai K Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa sallam Ne Farmaya Mere Tareekhe Ko Badalne Wala Sab Se Pehla Shaks Bani Umayya Se Hai Aur Naam Uss Ka Yazeed Hoga"
    (Tareek Al Khulfa Page 142) (Sawah Muharaka Ibne Hajar Makki Page 219)

    6) Hazrat Ubaid Bin Jarah Famate Hain Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa sallam Ne Irshad Farmaya Meri Ummat Ka Maamla Adal Wa Insaaf Par Qaim Rahega Yahan Tak K Rukhn Andazi Karne Wala Pehala Shaks Bani Umayya Se Hoga Aur Naam Uska Yazeed Hoga"
    (Majmooa Al Zawaid Jild 5 Page 241)(Lissan Almeezan Jild 6 Page 294) (Tariq Al Khulfa Page 142)

    ReplyDelete
  2. Bewakuf hum log nahi Tum log ho .....Nalayakon
    Angrezon ke Gulamo

    ReplyDelete
  3. Bastards, you guys always take the side of zulm which is why ahlus sunnah is nothing but a shatterred mazhab. Just see how many sects you have in the name of Ahlus sunnah......barelwi, deobandi, wahhabi, hanafi, sufi, tableeghi, ahle hadees, hanafi, maliki, mutazili, ....and the list goes on. This is what happens when you try to hide truth and take tge side of baatil.

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
    2. right..... and i bet twelvers sixers, seveners, nizaris, nuseris, bohras all branched out from sunni islam too. :p

      Delete

ShareThis