Pages

KYA PAKKI QABR BANANA JAYEZ HAI?? PART 1


Bismillahir rahmanir raheem


Barelwi aqeede mese ek aqeeda ye hai hai qabron ko uncha karna aur uspar majaar banakar uski ibadat karna..


Aayen ab barelwiat ke aqeede ka jayeza len aur kitaab wa sunnat ke saath saath fiqh hanafi se uska compare karen taaki pata chale ki in logon ke aqeede ki sanad kitaab wa sunnat se milti hai aur na hi fiqh hanafi se..


Ahmad yaar gujrati likhte hain-" saahibe qabr ki izhaar e azmat ke liye maqbara etc. Banana shar'an jayez hai"

(jaal haq 282)


aage likhte hain-" ulama wa auliya wa saliheen ki qabron par imaartein banana jayez kaam hai jabki usse maqsad logon ki nigahon me mahaanta paida karna ho taaki log us qabr waale ko tucch se jaane"

(jaal haq 285)


jabki hadith me yah maujood hai ki-

"nabi (sws) ne qabr ko chuna gach karne(pakki banane) aur uspar koi maqbara banane se mana farmaya hai"

(muslim,tirmizi, nisai)


isi tarah nabi(sws) ne hz ali (ra) ko khaas Taur par huqm diya tha ki-" we unchi pakki qabron ko zameen ke barabar kar den"

(ahmad,baiyhqi)


hz umar bin al haarish (ra) hz samama (ra) se riwayat karte hain ki unhone kaha-" room(rome) me hamara ek saathi khatm ho gaya to hz fuzla bin ubaid (ra) ne qabr ko zameen ke barabar karne ka huqm diya aur farmaya ki maine nabi(sws) ko is baat ka huqm dete hue suna hai"

(muslim)


Ab fiqh hanafi ki ibaartein bhi dekhiye


"qabron ko pakki banana mana hai"

(kitabul aasaar)


imam muhammad bin al hasan se poocha gaya ki kya qabr ko pakka banana na pasandida kaam hai? To unhone jawab diya--haan!

(kitabul asal 1-422)


imam surkhsai (rh) "al mabsoot" me farmate hain-"qabron ko pakka na banao kyonki nabi(sws) se iski manaahi saabit hai"

(al mabsoot 2-62)


qaazi khan apne fatawe me farmate hain-" qabron ko pakka na banaya jaaye aur na hi us par maqbara etc. Banaya jaaye kyonki imam abu hanifa se iski manahi Aayi hai"

(fatawa qadhi khan 1-194)


Imam kasaani (rh) ka irshad hai-" qabr ko pakka karna makrooh hai aur imam abu hanifa ne qabr par maqbara etc. Banana makrooh samjha hai isme maal ki barbaadi hai. Albatta qabr par paani chidakne me koi harz nahi. Magar imam abu yousuf se mankool hai ki paani chidakna bhi makrooh hai kyonki isse qabr pakki hoti hai"

(baday-us-sanaa 1-320)


isi tarah ki ibaarte fiqh hanafi ki tamam kitaabon me aayi hai...

Bahrur-raiq 2-209, fath ul qadir 1-472, raddul mukhtaar ala durre mukhtar 1-601, fatawa hindiya 1-166, fatawa bajajiyah aur kanjud daqaiq etc.


Qazi ibraheem hanafi farmate hain-" we maqbare jo qabron par banaye gaye hain unhe girana farz hai kyonki nabi(sws) ki nafarmani se banaye gaye hain. Aur wah imarat jo nabi(sws) ki nafarmani par banayi gayi ho uska girana masjide ziraar ke giraane se bhi zyada zaroori hai"

(majalisul abrar 129)

Nabi(sws) ka farmaan Hai-
"allah yahood wa isaaiyon par lanat kare unhone apne nabion ki qabron ko sazda gaah bana liya hai"


(bukhari)


ye to hain kitaab wa sunnat aur fiqh hanafi ki saaf daleelen magar barelwi qawm ko zidd hai ki kabron ko pakka karana aur unpar maqbare etc banana zaroori hai. Janab ahmad raza khan kahte hain-" maqbaron etc. Banana is liye zaroori hai taaki mazaar aam qabron se alag nazar aaye aur aam logon ki nazron me haibat wa mahaanta(greatness) paida ho"

(majalisul abrar 129)


Aage likhte hain- shame roshan karna, qabr ke samman(respect) ke liye jayez hai taaki logon ko ilm ho ki yah kisi buzurg ki qabr hai aur we isse tabarruk haasil karen"

(fatawa rizwiya 4-144)

Ek aur barelwi alim farmate hain-"agar kisi wali ki qabr ho to unki ruh ka samman(respect) karne or logon ko batlane k liye ki ye wali ki qabr hai taki log isse barkat haasil kar le to charagh(light) jalana jayez hai"

(jaal haq-300)



Ye to hain barelwi ulama ki fatawe magar hadith me iski saaf manahi aayi hai.

Hz abdullah bin abbas (ra)se riwayat hai-"nabi(sws) ne qabron ki ziyarat ke liye aane waali aurton, qabron par sajdagaah banane walon par aur unpar chiraag jalaane walon par laanat farmayi hai"

(abu dawood, tirmizi, nisai)


mulla ali qaari hanafi likhte hain-

"qabron par charaag jalaane ki manahi isliye aayi hai ki yah maal ki barbadi hai aur isliye ki yah jahannum ke aasaar me se hai aur ya isliye aayi hai ki isme qabron ka samman hai"

(mishqaat 1-470)


ibne abideen farmate hain-" mazaaron par tel(oil) ya chiraag etc ki nazar chadhana jhoota amal hai"

(raddul mukhtar 2-139)


allama haskafi hanafi farmate hain-" wah nazar wa niyaz jo aap logon ki taraf se qabron par chadhaai jaati hai chahe wah nagad(cash) ki surat me ho ya chiraag etc Ki shakl me to samaan taur par se sab baatil wa haraam hai"

(durre mukhtar 2-139)


to be continued in nxt article

CREDIT TO :-http://islamicleaks.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment

ShareThis