Pages

HANAFI MAZHAB KI PAIRWI KYON!!


BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM


IMAM ABU HANIFA RH AUR JAMA HADITH:


ye sawal kitna ajeeb hai, Agar imam abu hanifa rh kn wah ahadith mili thi to kya ki khoofiya zariye se mili thin ki unke daur ke ulama bilkul anjaan rahe, unhone khud un hadith ko mahfooz kyon na kiya??

Agar un ko fiqh ki tarteeb ne fursat nahi di to un ke shargirdon ne unko mahfooz kyon na ki??

Dusre imamon ki batayi hui hadith to unhone mahfooz kiya lekin apne ustad ki batayi hui hadiths ko gair mahfooz chhod diya,


imam abu hanifa rh ke bayanon ke daftar ke daftar mahfooz hain, lekin in fatawon ke dalail mahfooz nahi, asfos haadi e akram mohtaram sallallaho alaihi wasallam ke ahadith ko radd kar diya gaya aur unke ummati ke fatawon ko mahfooz kiya gaya, kya aql isko tasleem karti hai??


IMAM ABU HANIFA RH AUR UNKI TARAF MANSOOB KIYE GAYE MASAIL:


Gaur karne ka maqaam hai, durre mukhtar me hai,


" summal akbaru ra saun wal asghar U uzwan"


trans:" yani sharton me agar sab barabar hon to phir use imam banaya jaaye jiska sabse bada sar(head) aur satar(penis) sabse chhota ho


Kya ye fatawa imam abu hanifa rh ka hai??

Mera to iman hai ki ye imam sb. Ka nahi hai balki baad me gada(izaad) hai,


agar aap maante hain ki ye fatawa imam sb ka hai to phir aap imam abu hanifa ki rh ki shaan ko do bala nahi kar rahe balki us fatawe ko unki taraf mansoob karke unki tauheen kar rahe hain,

balki aapke mutabik aap ke imam sb rh ka har fatawa hadith ke mutabik hai to phir yah fatawa rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ke taraf mansoob huwa aur ab yah ek imam hi ki tauheen nahi rahi balki allah ke rasool (sws) ki tauheen hui,

bataiye koi ummati apne rasool ki taraf aise fatawe mansoob karna gawara karega??


Main to imam abu hanifa rh ki izzat wa taqwa ka khyal karte hue yahi baat kahta hun ki aise masail baad me gade gaye hain aur unke Gade hone ke saboot ke liye sirf unka makrooh hona hi kaafi hai, lekin aap ki tasalli ke liye ek bahut bade hanafi ulama maulwi abdul haiy firangi mahli ki tahrir pesh karta hun ,likhte hain



" fatawa hanfiya me jo masail darj hain, logon ne unko imam abu hanifa rh, imam abu yousuf rh, aur imam muhammad rh, par taane karne ka ek zariya bana rakha hai, kyonki yah masail aksar usool sharai par based nahi hain aur hadith sahiha ke khilaaf hain, wah yah khyal karte hain ki yah aimma salasa ke masail aur mazahib hain, haalanki haqeeqat yah nahi hai balki mashaikh ke takriaat hain na ki un teeno imamon ke, aur is tarah un teeno imamon par taana kashi karna aasan ho jaata hai"


(al nafi al kabeer 113)


aage dekhiye


abdul qaadir badayuni hanfi apni kitab 'bawarik sheikh najdi' me likhte hain


" indraj khwarij wa mutzala dar kutub e hanfiya jaid az ast hajaara hazaar khwarij wa matzala dar faru feqa hanfi Mazhab budand, talamaza khwas imam azam rh wa abu yusuf matmazhab bamzaahib baatila gujashta wa hazaara hazaar rawayat aza kasan eesha dar kutub fatawa daakhil ast"


trans: " hanfi kitabon me kharijion aur motzaliyon ke indrajaat hadd se zyada hain, hazaaro khwariji aur motzila shuru me hanfi they, imam abu hanifa rh aur qaazi abu yousuf ke khaas shargirdon me aise log shamil hain, to jhoote mazhab ke matwale they aur un ke hazaaron riwayatein un ke jhoota mazhab ke mutabik kutub me dakhil hain"


( al kalamul mateem 240)


matlab yah ki namonne ke liye do hi hawale kaafi hain, ab aap samjh gaye honge ki fiqh hanafiya me sab kuch imam abu hanifa rh ka hi nahi hai balki dusron ka bhi gada huwa hai aur uspar ulamaon ki tarjumani gawah hai.......


IMAMON KI GREATNESS TAQLEED KI MOHTAJ NAHI:


Main kisi bhi cheez me apne ko imam abu hanifa rh ka jaisa to alag unke pairon ki dhool ke barabar bhi nahi Samjhta, lekin taqleed nahi karta jis tarah aap imam ozzai rh, imam juhri rh, imam hasan basri rh, imam malik rh, imam shafai rh etc ki taqleed nahi karte lekin aap unki buzurgi ki qayel hain,

Yaad rakhiye, kisi insan ki greatness is baat ki mohtaj nahi ki uski taqleed ki jaaye. Agar sirf greatness hi taqleed ki daleel hai to phir imam basri rh iske zyada haqdaar hain,

isliye ki imam abu hanifa rh ne to sirf ek baar bachpan me hz anas ra ko dekha tha, lekin imam hasan basri rh ki to saari zindagi sahaba ra ki daur me guzri, saikdon sahaba ko dekha hi nahi balki unki sangat aur shargirdi se fayeda paya, aur ek waqt me 300 sahaba kiram ra ki taqatwar jamaat unke saath thi.

(dalilun faaliheen)

isi tarah imam ata rh mashoor tabiee hain, jin ke baare me khud imam abu hanifa rh ka bayan hai ki maine unse bahtar aadmi nahi dekha, saikdon sahaba ra ki sohbat se fayeda uthaya, 200 sahaba ra ke saath masjid haram me namaz padha karte they aur unki buland aawaz se aameen kahne ki aawaz suna karte they (baiheqi)


allah hamen haq baat kahne aur sunnaton par amal karne ki taufeeq de.... aameen

Credit To :-http://islamicleaks.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment

ShareThis