Pages

AHLE HARAMAIN KE SATH AHNAAF KI 30 MUKHALEFATEN


NEECHE 30 WAH UMOOR LIKHE JA RAHE HAIN JINME AHNAAF HAZRAT AHLE HARAMAIN KI MUKHALEFAT KARTE HAIN AUN KATAN US RASOOL KO SAAMNE NAHI RAKHTE JISE KIYAMULLAIL AUR 20 RAKAT KE HAWALE SE PESH KIYA JAATA HAI, IN MASLON KO BRAHE RAAST KISI BHI WAQT TELEVISION PAR DEKHA JA SAKTA HAI...


1- HARAMAIN ME SAHRI, AZAN E FAJR KE SAAT BAND AUR AZAN E MAGHRIB KE SATH SHURU KAR LIYA JAATA HAI

2- HARAMAIN ME ROZA RAKHNE KE LIYE " BIS-SAUMI GADIN-NAWAITU MIN SAHRI RAMZAN" KE ALFAAZ KE SAATH NIYYAT NAHI KI JAATI

3- HARAMAIN ME KABHI KABHI DOHRI AZAN(TARJEE WALI AZAN) KAHI JAATI HAI

4- HARAMAIN ME AZAN E TAHAJJUD KA IHTIMAM KIYA JAATA HAI

5-HARAMAIN ME KISI BHI AZAN SE PAHLE MURAWWAZA DUROOD WA SALAM NAHI PADHA JAATA

6- HARAMAIN ME EKHARI TAKBEER YA IKAMAT KA IHTIMAM KIYA JAATA HAI

7- HARAMAIN ME KISI BHI NAMAZ SE PAHLE MURAWWZA ALFAAZ KE SATH NIYAT NAHI KI JAATI

8- HARAMAIN WALE NAMAZ ME SEENE PAR HATH BANDHTE HAI

9- HARAMAIN ME NAMAZ KE ANDER IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KA EHTIMAM KIYA JAATA HAI

10- HARAMAIN ME BA AAWAZE BULAND AAMEEN KAHI JAATI HAI

11- AHLE HARAMAIN NAMAZ ME RUKU ME JAATE HUE AUR RUKU SE UTHTE HUYE RAFULYADIN KARTE HAIN

12- HARAMAIN ME NAMAZ AWWAL WAQT ME ADA KI JAATI HAI

13- HARAMAIN ME NAMAZ E FAZR KHOOB ANDHERE ME PADHI JAATI HAI

14- HARAMAIN ME NAMAZ E ASR SAAYA EK MISL HONE PAR ADA KI JAATI HAI

15- HARAMAIN ME NAMAZ E ASR KE BAAD TAWAF AUR NAMAZ KI IJAJAT DI JAATI HAI

16-HARAMAIN ME NAMAZ E MAGHRIB SE PAHLE 2 RAKAT NAMAZ KA EHTIMAM KIYA JAATA HAI

17- HARAMAIN ME PANCHO FARZ NAMAZON KE BAAD IJTEMAI DUA NAHI KI JAATI

18- HARAMAIN ME AURTON KO MASJID ME AANE, FARZ NAMAZ, QIYAMULLAIL , AUR NAWAFIL ADA KARNE KI IJAJAT DI JAATI HAI

19-HARAMAIN ME KHWATEEN NAMAZ E EID UL FITR AUR EID UL ADHA BA JAMAAT ADA KARTI HAIN

20- HARAMAIN ME NAMAZ E EID SE PAHLE KOI KHUTBA NAHI DIYA JAATA, PAHLE NAMAZ PHIR KHUTBA

21- HARAMAIN ME EID KE ANDER 12 TAKBEERON KA EHTIMAM KIYA JAATA HAI

22-HARAMAIN ME KHUTBAY JUMA KA TAREEQA AHLE HADITH WAALA HAI

23- HARAMAIN ME NAMAZE JANAJA MASJID ME ADA KIYA JAATA HAI

24-NAMAJE JANAJA ME SANA NAHI PADHI JAATI

25- NAMAZE JANAJA ME SURAH FATIHA KA BA QAIDA EHTIMAM KIYA JAATA HAI

26-HARAMAIN ME NAMAZE JANAJA ME SIRF EK SALAN PHERA JAATA HAI

27-HARAMAIN ME NAMAZ E WITR KO FASAL KE SAATH ADA KIYA JAATA HAI, YANI DO RAKAT KE BAAD SALAM PHER KAR TEESRI RAKAT ALAG SE ADA KI JAATI HAI

28- HARAMAIN ME NAMAZ E WITR KI QUNOOT ME HAATH UTHAYE JAATE HAI

29-HARAMAIN ME NAMAZE WITR KI AAKHIRI RAKAT ME QIR'AT KE BAAD RAFULYADAIN NAHI KIYA JAATA HAI

30-HARAMAIN ME QUNOOT E WITR RUKU KE BAAD KI JAATI HAI




DAWATE FIKR AUR ISLAAH:



AHLE HARAMAIN KE AMAL KO AGAR HUJJAT BANANA HAI AUR UNKE KARNE AUR NA KARNE KO DALEEL AUR MIYYAR THAHRAANA HAI TO USE SIRF 20 RAKAT QAYAMULLAIL (TARAWEEH) TAK MAHDOOD KYON KIYA JAATA HAI?

PHIR UPER ME ZIKR KIYE GAYE MASLON ME BHI UNKA EHTIMAM KARNA CHAHIYE, ISLIYE AGAR WO LOG DALEEL AUR HUJJAT HAIN TO UNKE TAMAM KAMON KO APNA LENA CHAHIYE, AUR AGAR WAH IN SAB AAMAL WA AFZAAL ME HUJJAT NAHI HAI TO PHIR UNHE AKELE 20 RAKAT QIYAMULLAIL ME HUJJAT BANA KAR BATAUR E DALEEL NA PESH KIYA JAAYE, TAAKI YAH" BAAZ KITAB PAR IMAAN RAKHTE HON AUR BAAZ INKAR KARTE HON" WAALA MAMLA NA BAN JAAYE, KYONKI APNI MARZI KA AMAL LE LENA AUR USE BATAUR DALEEL PESH KARNA AUR APNI MARZI KE KHILAAF AAMAL CHHOD DENA YAH ILM AUR INSAAF WALE KA KAAM NAHI HAI,




NOTE: MAJMOON PROF. ABDUL RAZZAQ SAAJID, FAAZIL MADINA UNIVERSITY KA HAI, ISE ALFAZ AUR JUMLON KI MAMOOLI TABDEELI KE SAATH CHAPA GAYA HAI..





SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE 581/150 FAITHFUL GANJ KANPUR U.P 
MO.9389962309.

CREDITS TO :-http://islamicleaks.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment

ShareThis