MARKAZ AHLE HADEETH BANSWARA (RAJ.) INDIA
O ye who believe! Fear Allah as He should be feared, and die not except in a state of Islam. (Surah Al-Imran-102)
The Description of The Eid prayer, Number of Rakats and The Eid Takbirs : Shaykh ibn Uthaymeen
Like It, Say Thanks...
SHADI KE BAAD SHAUHAR KA NAAM APNE NAAM KE SATH LAGANA HARAAM HAI
Bismillahirrahmanirrahem
SHADI KE BAAD SHAUHAR KA NAAM APNE NAAM KE SATH LAGANA HARAAM HAI
Jo Auratein Apni Shadi Ke Baad Apne Walid Ka Naam Hatakar Apne Shauhar Ka Naam Apne Naam
Ke Aage Lagati Hai Wo Haram Hai. Misaal K Taur Pe, Shaadi Se Pehley Unka Naam "Fatima Maqsood Ali" Tha Aur Shaadi Hui Sajid Siddiqui Se, Ab Naam Badal Kr "Fatima Sajid Siddiqui" Ya Sirf "Fatima Sajid" Kar Liya. Ye Haraam Hai.
Iski Ijazat Nahi Hai Ki Koi Apney Baap (Walid) Ka Naam Hata Kar Apney Shauhar Ka Naam Ya Apney Shauhar K Khaandaan Ka Naam Apney Naam Ke Agey Lagaye, Ye Kuffar Ka Tareeqa Hai Hame Isko Apnane Se Bachna Chahiye.
AHADEES�
Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam� Ne Farmaya:
"Jisney Apney Naam Ko Apney Walid K Naam K Alawa, Apney Naam Me Kisi Dusre Ka Naam (Jo Uska Baap Nahi) Joda Us Par Allah Ki Aur Farishton Ki Lanat Hai "
(Ibn Maajah, 2599�)
Abu Dharr (Radiallahu Anhu) Ne Suna Ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam� Ne Farmaya :
“ Kisi Admi Ne Apne Walid K Siwa Apni Shinakht Kisi Aur K Saath Milaee Usne Kufr Kiya.
Jisney Us Shaks Se Apney Ko Joda Jo Uska Baap Nahi Wo Apna Thikana Jahannam Me Bana Le.”
(Bukhari 3508 And Muslim 61)
Sad Ibn Abi Waqqaas Aur Abu Bakar (Radiallahu Anhuma) Ne Kaha Ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam� Ne Farmaya:
“Jo Ye Kehta Hai Ki Wo Musalman Hai Aur Wo Kisi K Saath Khud Ko Jodta (Attach) Hai Jo Uska Baap
Nahi, Ye Jaan Kar Ki Wo Uska Haqiqi Baap Nahi, Jannat Uske Liye Haraam Hai.”
[Bukhaari 4072 And Muslim 63]�
Issey Zada Or Kya Warning Ho Sakti Hai..
Ye Kuffar Ka Tareeqa Tha Or Aaj Hamari Behne Bade Shauq Se Isko Apnati Hain, Yaad Rahey Baap
Ka Rishta Kisi Bhi Nae Rishtey K Aney K Baad Khatam Nahi Hota Aur Aulad Ki Shinakht Aur Pehchan Uske Walid K Naam Se Hi Hogi, Aur Apne Shauhar Ka Naam Apne Naam K Saath Lagana Ye
Kufr Aur Haraam Ka Bais Hai.
Shauhar Aur Biwi Ka Khoon Ka Rishta Nahi Hota Aur Naam Sirf Khoon K Rishtey Se Hi Joda Ja Sakta
Hai. Agar Kisi Wajah Se Uska Talaq Hoga To Us Surat Me Wo Kitney Naamo Ko Change Kareygi
Agar Shauhar Ka Naam Lagana Sahi Hota To Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam� Ki
Biwiyon Ne Bhi Apna Naam Badla Hota Kyunki Unke Shauhar To Duniya K Afzal Tareen Shaks The.
Maslan(Example)�
Khadeeja (Radiallahu Anha) Hamesha Khadeeja Bin Khuwalid Rahin ,
Aysha (Radiallahu Anha) Hamesha Ta-Umr Aysha Bint Abu Baker Rahin.
Yahan Tak Ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam� Ki Wo Biwiyan Jinke Baap Kafir They,
Aapney Unke Naam Ka Laqab Bhi Kabhi Tabdeel Nahi Kiya.
Jaise:�
Saffiya Bint Huyayy (Radiallahu Anha) ( Huyayy Yahoodi Tha Or Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam� Ka Jani Dusman Bhi Tha)
Jannat Mey Aurton Ki Sardar Fatima (Radiallahu Anha) Hamesha Fatima Bint Muhammad Rahin
Unhoney Ali (Radiallahu Anhu) K Naam Ke Sath Apne Naam Ko Kabhi Nahi Joda.
Jis Behan Ne Galti Se Aisa Kiya Hai Wo Allah Se Sacchi Tauba Karey Aur Apne Walid Ka Naam
Wapas Apne Naam Se Jodley. Hame Apney Amaalon Ka Hisab Allah Ko Dena Hai Aur Ye Sarsar
Allah Aur Uske Rasool Ki Nafarmani Hai.
Allah Hame Samjhney Aur Is Par Amal Krney Ki
Taufeeq Dey. AAMEEN YA ALLAH !!
TAX KI SHA’RAI HAISIYAT: RULING OF TAXATION IN ISLAM
Bismillahirrahmanirraheem
TAX KI SHA’RAI HAISIYAT: RULING OF TAXATION IN ISLAM
Tax Wo Rakam (Cash) Hai Jo Hukumat Chalaane Ke Liye Alag Alag Sooraton (Types) Me Logon Se Wasool Ki Jaati Hai, Aur Jo Log Taiy (Fixed) Waqt Par Tax Ada Na Karen Unke Khilaaf Kaanooni Kaarwaahi Ki Jaati Hai,
Kaha Jata Hai Ki Sabse Pahle Yunaan (Greece) Aur Rome Me Sab Se Pahle Istemaal Hone Waali Cheezon (Goods) Par Tax Lagaaaya Gaya, Sabse Pahle Jis Mulk Ne Aam Income Tax Ke Nizaam Ko Apnaaya Wo Britain Hai,
Nepolean Bonaparte Ke Khilaaf Jung Ladne Ke Liye Britain Hukumat Ne 1799 CE Me Income Tax Laagu Kiya,1810 Me Jung Khatam Hui Toh 1842 Tak British Logon Ko Is Tax Ke Bojh Se Azaad Kar Diya Gaya, Lekin Baad Me President Budget Me Khasaare (Budget Deficit) Ki Wajah Se Dobara Tax Laagu Kar Diya,
1880 CE Tak Log Tax Ke Aadi (Habitual) Ho Gaye, Isi Tarah Dheere Dheere Germany, France, Italy, Sweden Aur America Etc Me Be Tax Laagu Ho Gaya, Angrez Hindustan Me Aaya Toh Yahan Bhi Tax Laagu Ho Gaya,
Islam Ki Aamad Ke Mauqe Par Jo Mukhtalif (Different) Qism Ke Tax They Unka Mukhtasar (Short) Bayan Is Tarah Hai
M’sak: Zamana E Jaahiliyat (Period Of Ignorance) Me Logon Se Zabardasti Wasool Kiye Jaane Wala Tax, Islam Ne Iski Muzammat Bayan Ki Au Rise Azeem Gunaah Aur Jahannum Me Daakhile Ka Zariya Qaraar Diya
Jiz’yah: Ye Wo Tax Tha Jog Hair Muslimon (Non- Muslim) Se Unki Jaan Aur Maal Ki Hifaazat (Security Of Life And Wealth Tax) Ke Badle Me Wasool Kiya Jaata Tha, Islam Qubool Karne Se Ye Tax Khatam Ho Jaata Hai,
Khi’raaj : Ye Tax Bhi Ghair Muslims Par Lagaaya That Ha, Dar’asal Ye Unki Zameeno Par Lagan Tha, Jung Me Jeete Hue Ilaaqon Ko Unke Puraane Maalikon Ke Qabze Me Rahne Diya Jaata Aur Unke Ilaaqe Ke Aitbaar Se Khi’raaj Wasool Kiya Jaata
Za’reebah : Ye Bhi Tax Ki Ek Soorat Se Jo Ghulaamon Aur Ghair Muslamano Par Lagaaya Jaata, Musalmano Se Iska Koi Taalluq Na Tha.
Aa’shar: Is Se Muraad Wo Tijarati Import Duty Thi Jo Yahood Aur Isaayi Aur Hinduon Ke Un Maalon Par Wasool Ki Jaati Thi Jo Tijaarat Karne Ki Wajah Se Musalmano Ke Ilaaqe Me Laaya Karte They,
Waazeh Rahe Musalmano Par Sirf Zakaat Aur Aa’shoor Ki Hi Paabandi Hai, Iske Elawah Koi Apni Marzi Se Sadqah Wa Khairaat Karta Hai Toh Who Zyada Ajr Wa Sawaab Ka Mustahiq Hai, Zakaat Aur A’shar Ke Elawah Musalmano Par Allah Ki Taraf Se Koi Bhi Tax Waajib (Obligatory) Nahin, Isiliye Imam Shaukani Ne Naqal Farmaaya Hai Ke
“In (Musalmano) Par Zaqaat Ke Elewa Koi Tax Ya Us Jaisi Koi Cheez Waajib Nahin”
(Neel Ul Awtar)
Aur Ek Riwayat Me Bhi Hai Ke
“Jab Tune Apne Maal Ki Zakaat Ada Kar Di To Jo Tujh Par Farz Tha Who Tone Poora Kar Diya”
(At Targheeb)
Islam Ne In Sab Zaalimaana Taxes Ke Bar’khilaaf (Opposite) Sirf Saal Me Ek Hi Baar Zakaat Farz Ki Hai, Aur Ghair Muslimon Se Bhi Un Par Waajib (Obligatory) Tax Se Zyada Wasool Karne Ki Ijaazat Nahin Di Toh Islami Riyaasat Me Musalmano Se Baar Baar (Income Tax, Sale Tax, GST, Import Duty, Excise Duty Etc) Ghair Islamic Tax Wasool Karne Ki Gunjaish Kaise Nikal Sakti Hai ??
Lihaza Waazeh Rah Eke Is Tarah Ke Tamam Tax Ghair Sharai Hain Islam Ka Inse Koi Taalluq Nahin
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi
EK JANWAR SAARE GHAR WALON KI TARAF SE KAFI HAI CHAHE GHARWALON KI TADAD KITNI HI KYUN NA HO
Imam Shaukani Ne Bhi Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai
(Nayl Ul Awtar, Kitab Ul Uzhiyata, Safa-137)
Imam Hafiz Zahabi Me Unki Muafiqat Ki Hai,Aur
Imam Hayshmi Ne Farmaya Ise Imam Tabrani Ne Apne Kabeer Me Riwayat Kiya Hai Aur Iske Rijaal Sahih Hai.
(Masail Imam Ahmad Ibn Hambal Lil Ishaq,Safa-130)
Like It, Say Thanks...
OONT KA PESHAB AUR HINDU BHAI KE SAWAAL
बुखारी -(वुजू )जिल्द 1 किताब 4 हदीस 234
बुखारी -जिल्द 8 किताब 82 हदीस 794
और बुखारी -जिल्द 7 किताब 71 हदीस 590 के सन्दर्भ बताए थे ॥
आज अमेरिका के कैंसर अनुसंधान केन्द्र समेत अनेक मेडिकल रिसर्च सेंटर्ज़ का कहना है कि ऊंट का पेशाब कैंसर जैसी कई खतरनाक बीमारियों का इलाज करने मे कारगर है .... तो समझ मे आता है कि सम्भवत: उन बीमार बद्दुओं को भी कैंसर जैसा ही कुछ जानलेवा रोग हो गया था, जो नबी सल्ल. के सुझाए इलाज से ठीक हो गया ।
वो भी छोड़िए, आप जो ह्रष्ट पुष्ट होकर भी अकारण ही प्रसाद के नाम पर रोज गाय का पेशाब पीते हैं, कम से कम आपको तो किसी की जान बचाने के लिए ऊंटनी का पेशाब देने की चिकित्सकीय सलाह इतनी अनोखी नहीं लगनी चाहिए थी ॥
ZAKAWAT E HISS (शीध्र पतन) KI BIMARI AUR USKA ILAAJ
2- Origanum Q (Mother Tincture)
2-Netrum Rulf 12 x
#ISLAMICLEAKS
Like It, Say Thanks...
HAMARI TABAAHI AUR PARESHAANI KA ASAAN HAL(SOLUTION)
bismillahirrahmanirraheem
HAM NE QURAN KO TARJUME SE PADHTE HI NAHI YAHI WAJAH HAI KE HAM ZAMANE ME ZALEEE O KKHOWAR HAIN.
JO QURAN HAMARI HEDAYAT KE LIYE AA'YA, THA HAMNE US QURAN KO SIRF BARQAT KE LIYE,TELAWAT KE LIYE, MURDE KO BAKHSWAME KE LIYE, TAWEEZ BANANE KE LIYE, PANI ME GHOL KE PILANE KE LIYE, ISTEMAL KAR RAHE HAIN,
HAMDARD DAWAKHANA BANA RAKHA HI QURAN KO,
HAME SHARM AANI CHAHIYE,QURAN JIS MAQSAD KE LIYE NAZIL HUA, HAMNE US MAQSAD KO BILKUL TARAK KAR DIYA,
AOR WOH KAM KARNE LAGE JO NABI NE KABHI NAHI KIYA, NA HUKM DIYA NA SAHABA KARAM NE KABI KYA NA 4 IMAM NE KYA, MUSALMNO TUM QURAN ME GAOR KIUN NAHI KARTE,
QURAN HAR INSAN KE LIYE AYAA HI KISI MOLVI MUFTI KE LIYE KHASH NAHI,
DALEEL BHI HI MERE PASH, SURAH QAMAR MEIN, ALLAH NE 4 AYAT NAZIL KYA(17 ,22 , 32 ,40 ) AOR EK HE BAAT BATAYA,
(((HAMNE QURAN KO ASAAN KARKE NAZIL KIYA HI, KOI HI NASEEHAT LENE WALA)))
SURAH QAMAR-17 ,22 ,32 , 40,
AB AAP SAB LOOG BATAOO, JO YAH KAHTA HI KI DEEN HAR KOI NAHI SAMAJH SAKTA HI, YAKINANAN NAAM KA MUSLIM HI, USKO DEEN KI SAMAJH NAHI, YA PHIR DUSMAN ISLAM HI,
JO ALLAH KE KALAM KO JHUTLA RAHA HI, YAH KON LOOG HI, JO MUSALMANO KO APASH MEIN LARHA RAHE HI, JUDA JUDA KYA HUA HI, JAB KOI ISLAM SE JUDA HOTA HI, TAB USKI APNI EK JAMAT HOTI HI,
BACHO SARI JAMAT SE , QURAN HADITH KO KHUD PARHO APNA AMAL KHUD SAHI KARO,
ALLAH HAMSAB KO QURAN & SAHI HADITH PARHNE, AOR AMAL KARNE, AOR LOOGON TAK PAHUCHANE KI TUOFEEQ ATA KARE,
AMEEEEEEEEEEEEE EEEEEEEEEEN
By: Ahmed Bhai
MURDON KO SAWAAB KAISE PAHUNCHAYA JAAYE
Bismillahirrahmanirraheem
MURDON KO SAWAAB PAHUNCHANA:
Is daur me musalmano me mayyit ko sawaab pahunchaane ka naya tareeqa nikaala huwa hai, jisse murdon ko to kabhi sawab nahi milta aur karne waale ka nuksaan yah hai ki allah aur rasool ke munkar bante hain, paisa barbaad hota hai, aur shaitaan khush hota hai, bewaaon aur yateemo ke haq khatm hote hain,
mayyit agar karzdaar mari hai to aakhirat ke azaab ka shikaar ho jaati hai
is daur ke jaahil musalmano(maslan barelwi) ko jahan dekhiye is bimari ka shikaar hain yahan unke yahan koi mara aur unhone baap daada ki pairwi ki,
murde ke saath anaaj etc qabron par baat'te hain paisa baat'te hai, teesre din teeja, 10wa,20wa,40wa, 6 mahi barsi karte hain phir acche khaane, pulaao, zarda, biryani, mithai aur biraadri ko khaana khilaate hain aur aapas ke badle utaare jaate hain
kitna hi gareeb ho khaana zaroor khilaayega, khana na de teeja na kare ya Koi biraadri waala na bulaaya jaaye aisa ho hi nahi sakta, aise maut ke khaano me shadi ki tarah biraadri ke ameer wa gareeb sab shareek hote hain ,
agar sadqa wa khairaat ka naam lekar bulaya jaaye to koi na aaye.
Agar inse puchiye aap kis deen ke hai jo jawaab me irshaad hota hai AHLE SUNNAT WAL JAMAAT pakke hanafi,
agar pucha jaaye ki hanafi maslak ki kis fiqh ki kitab me ya charon maslako me se kisi maslak ki kitab me in rasmon ko likha huwa bata sakte ho?? To jawab nahi de sakte , agar unke paas koi jawab hai to sirf itna ki hamne to apne baap daada ko aise hi karte dekha hai,
kuch kahte hain ham to jaahil hai kitne ki padhe likhe jo rashme karte hain kya we qur'an wa hadith nahi samjhte?? Aur jo thode bahut padhe likhe bhi hain we farmate hain- "miyan isme nuksaan kiya hai buraai to sadqa khairaat me hai aur karz lekar khairaat karna bhi accha hi hai isme buraai kaun si hai
is jawab ko Kaafi samjhkar asal matlab ko chhod dete hai aur wah nahi jaante ki allah wa rasool ne haqdaaron ka haq ada karne ka kya tareeqa farmaya hai?? Yateemo ke maal ki hifazat ko qur'an majeed kya kahta hai, allah musalmano ko samjh de
SAWAAB PAHUNCHAANE KA SAHI TAREEQA:
Mayyit ko sawab pahunchane ka theek aur sahi tareeqa yah hai ki allah ke waaste apne khaas maal se jisme kisi yateem wa bewa aur dusre rishtedaar ka kuch haq na ho, usse ghareeb miskeen aur ristedaaron ki madad karen unhe khana khila den kapda bana den, nagad raqam se madad karen
"agar taqat ho to mayyit ke sawaab ki niyyat se kuwan(well) khudwa den, madarsa banwa den, yateem wa ghareeb bacchon ko madarsa bhijwa den, agar mayyit karzdaar mari ho to pahle uska karz chuka de phir kahin khairaat ka naam len"
(abu dawood, nisaai, mishkaat 161)
" mayyit ki taraf se khana kaaba ka hajj karen ramzan ke roze rakhen jo us par waajib ho, jo Roze mayyit chhod mari hai hai unki qaza kara den ya nazar ke roze ho to unko pura kara den"
(tirmizi, abu dawood,nisai,mishkaat)
agar maal zyada hai aur koi haqdaar nahi hai to mohtaajon ka wajeefa muqarrar kar den aur kisi kaam me dikhaawa na ho na dikhaawe wa naam ki niyyat ho, agar is tarah sawaab pahunchaayenge to qur'an ke mutabik murde ko allah sawaab dega
nabi(sws) ne farmaya- "jab insaan mar jaata hai to uske saare amal khatm ho jaate hain, magar 3 cheezen maut ke baad bhi faayeda deti hain--
1- sadqa wa khairaat
2- deen ka ilm jisse log faayeda uthaayen
3- nek aulaad jo uske liye dua karti rahi.
(muslim, mishkaat)
agar sadqa khairaat karne ki takat na ho to karz lekar yah kaam na karna chahiye, mayyit ke haq me sirf dua ki karna kaafi hai.
Is tarah khairaat karke dua karen ki " aiy allah yah mera sadqa teri janaab me maqbool ho to mere maa baap ya falan shakhs ko pahuncha de" To allah apni maharbani se wah sawab use pahuncha dega, paisa bhi aapka sahi jagah pahunch jaayega aur murda bhi khush hoga allah wa rasool tumse raazi honge tum sawaab se mahrum na rahoge.....