Pages

NAJD





Bismillahirrahmanir raheem


NAJD:


Inshaallah is article me najd ki asal haqiqat bayan ki jaayegi.. Is article ko maine 3 parts me baata(divide) kiya hai

1- mashriq(east) ka daayera

2- Najd( fitno ka markaz)

3- qabeela(tribe) banu tamim



1-MASHRIQ(EAST)


Allah taala qur'an kareem me farmata hai:-" wahi mashriq aur maghrib ka maalik hai aur iske siwa koi mabood nahi, to isi ko apna kaarsaaz banaao"

(surah muzammil 9)


" aur mashriq aur maghrib sab khuda ki ka hai, to jidhar tum rukh karo udhar khuda ki zaat hai"


(surah baqarah 115)


yani in ayaton se ye to saabit hai ki allah poore mashriq(east) aur maghrib(west) ka malik o mukhtar hai....

Lekin aaj ke science ke mutabik raaste(direction) 4 hain

1-EAST
2-WEST
3-NORTH
4-SOUTH


Ek baat batata chalun deen e islam me hujjat sirf quran o hadith ho sakti hai maujooda science nahi.....

Hadith ko samjhne ke liye science ko hujjat banana jayez nahi



Yani quran o hadith ke aitbaar se direction sirf do hi hain, mashriq aur maghrib (wallahu alam)


agar gaur kiya jaaye to najd e arabia aur najd e iraaq bhi mashriq(east) ki taraf hain...

Agar koi jaahil ye kahe ki ye east me nahi balki north-east me hai to ye quran o hadith ke aitbaar se sirf uska qayas hi hoga....

Ab hamen ye to tasleem karna hi hoga ki najd e iraaq bhi mashriq(east) me aata hai...

Hadith me aata hai:

hz ibne umar (ra) kahte hai, allah ke rasool(sws) ne farmaya:-" aiy allah ! Hamare mulk shaam, yemen me barkat ata kar, najdiyon ne kaha aur hamare najd me?? Aapne (phir) farmaya, aiy khuda ! Hamare mulk shaam wa yemen me barkat ata kar, najdi bole aur hamare najd me?? Aapne farmaya, wahan zalzale aur fitne honge aur wahan se shaitaan ka seeing(horn) niklega"

(sahih bukhari v3 ch17 h147)

beshak yah hadith sahih hai.. Lekin is hadith ko najd e arabia ki taraf mansoob karna sirf Qayas karna hi hai. Yahan jis najd ki baat ho rahi hai usko fitno ka markaz kaha gaya hai.....

Jab ham tarikh aur hadith ka mutala karte hain to ye paate hain ki ye najd.. Najd e arabia nahi balki najd e iraaq hai... Yahan se hi fitno ki shuruat hui



2-NAJD E IRAAQ

ummat e muslima mese sabse badtareen firqe jo nikle wo najd e iraaq se hi nikle

1- kharijiya
2-motzali
3-rafziyya(shia)
4-

ye millat e islamiya ke sabse badtareen firqe hain.......

Hamen najd e arabia se koi aisa fitna nazar nahi aata jo in fitno se bada ho......

Ab zara najd e iraaq ke fitno ke peshe nazar kuch waaqeyaat mulaheza hon


hz abdullah bin umar (ra) se ek iraaqi ne pucha ki ahraam ki haalat me makkhi(house flies) ka maarna jayez hai? Unhone naraz hokar jawab diya:-" iraaq walon tumhe makkhi ki jaan ka itna khyal hai jabki tum rasullullah (sws) ke nawaase(hz hussain ra) ko qatl kar chuke ho"

(sahih bukhari v5 b57 h96)





Khud hz ali (ra) ne ek mauke par apne sar par qur'an rakha aur koofa walon ki baabat baargaahe illahi me yun arz kiya:

" aiy allah ! Unhone(iraqi) mujhe we kaam nahi karne diye jin me ummat ka bhala tha, isliye tu mujhe unke sawaab se mahrum na rakhna

( phir farmaya) aiy allah! Main un se ukta gaya hun aur ye mujh se ukta gaye hain, main inhe napasand karta hun aur ye mujhe napasand karte hain"

(al badaya wan nihaya 8/13)


hz abu saeed khudri ra ko jab jab yah baat malum hui ki hz hussain ra ke paas koofa(iraaq) walon ke letter aa rahe hain, to we hz hussain ra se mile aur kaha:- " aiy abu abdullah ! Main tumhara hitaishi aur tumhari baabat andeshe ka shikaar hun, mujhe yah baat pahunchi hai ki tumhare himaayti koofiyon ki taraf se tumhe khat(letters) aa rahe hain jin me we tumhe yazid ke muqaable me khade hone ki daawat de rahe hain(lekin meri nasihat yah hai ki) tum wahan mat jaana, isliye ki Maine tumhare baap(hz ali ra) ko koofe me yah farmate suna hai:-" allah ki kasam ! Main un(koofiyon) se ukta gaya hun aur main un se nafrat karta hun aur we mujh se ukta gaye hain aur mujhse nafrat karte hain aur unse kabhi wafa ki ummeed nahi"

(al bidaya wan nihaaya 8/163)


balki hz abdullah bin zubair ra tak bhi un logon me shamil hain unhone hz hussain ra ko iraaq jaane se roka aur unhe iraaq walon ki bewafaai yaad dilaayi"

(albadaya wan nihaya 8/163, at tabri 4/286-288)


"iraaqi bidati hain"

(muwatta imam malik book 20 h54,30)


" dajjal syria aur iraaq ke beech se niklega"

(sahih muslim 41,7015)


"iraaqi jhoote hain"

(sahih muslim 2850)


" khariji iraaq se hain"


( sahih bukhari v9 b84 h68)


To be continued soon....

No comments:

Post a Comment

ShareThis