Pages

KYA TAQLEED WAJIB HAI??


Bismillahirrahmanirraheem


yeh baat buhot mashahur hai ke char(4) imam barhaq hein aur awaam apar in ki taqleed karna wajab hai ,

char 4 imamon se muraad IMAM MALIK RH, ABU HANIFAH NAUMAN BIN SABIT RH, MUHAMMAD IDREES SHAFEE, AHMED BIN HAMBAL (RH) HAIN .

charoon sahiban ka buhot buland ilmi martabah hai aur deen-e- islam mein in ki khidmat kisi se dhaki chhuppi nahi hein,

lekin in ke darjaat imamat par faiz hone aur awam par in ki taqleed ke wajab hone ki koi daleel QURAN O HADEETH se nahi milti.

QURAN O HADDETH hi asal deen hai, jab yahan se hum kisi baat ka saboot paa lein to phir taweel ki gunjaish nahi rehti aur jab humein kisi baat ka sabut nahi milta,to phir isse tasleem karne ki koi gunjaish hamare pas nahi.

Is liye ke hum shariyat ke tabeh hein, shariyat saz nahi.

chànd nadan qisam ke muqalid Ayat e Qurani فَسۡـَٔلُو ٓاْ أَهۡلَ ٱلذِّكۡرِ إِن كُنتُمۡ لَا تَعۡلَمُون َ se yeh jowaz nikalte hein ke is ayat mein awaam ko inki taqleed ka hukam diya geya hai


halanke inka yeh qol ALLAH TAA'LA par iftra hai aur ALLAH TAA'LA par jhoot bolte huwe zara barabar bhi nahi sharmate.

sura An-Nahl ki is ayat ka ma'qbal ma'baad is baat ki saf saf wazahat kar raha hai ke yahan ahlul zikar se murad ahle anjeel hein (ahle kitab )na ke UMMAT E MUHAMMADIYA ke ulma.

phir yeh nadan muqalid jowaze taqleed apne zaime batil mein sabit to kar dete hein.lekin hamara sawal aaj bhi kham thonk kar khara hai ke is ayat se apne char imamon ki taqleed ka bhi sabut do ke ahle zikar se sirf yahi char murad hein aur yahan yeh hawala bhi beyja na ho ga ke mazkurah bala ayat se murad QURAN O HADEETH ka hukam daryaft karna hai,logoon ki baatein maan lene ka hukam nahi.

yahud o nisara apne molvion aur darweshoon ka kehna mante thay,is liye ALLAH TAA,LA ne mushrik farmaya.mo minoon ko hukam diya ke logoon qol mat poocho balke yeh poocho ke ALLAH TAALA aur Rasool Allah s.a.w ka hukam keya hai(muqada ma -Alamgeeri )


haqeeqat yeh hai ke islam ki haqeeqi taleem se logon ko sab se ziyada bargshata karne wali bidat yehi taqleed aimah arba hai. ke is ke sabab logon ne Rasool Allah s.a.w ke aqwal,ahad eetho sunan mubarka tark kar diya aur in logon ke aqwal o afaal ki pervi karne lage hein. jin ki taqleed karne ka hukam na ALLAH ne diya aur na Rasool Allah ne diya .

kyon ke woh nabi nahi thay balke ummati thay. yahan sawal yeh bhi paida hota hai ke jab yeh taqleed chothi(4 th ) saddi hijri mein shuru hui to woh muslaman jo is taqleed ke shuru hone se pehle hi taqleed par amal kiye baghair is duniya se rukhsat ho gaye in ka kiya bane ga aur in mein sahabah ikram (r.z) tabei n tabah tabeib sab log shameel hein jo qaroon e salasah ke log hein. jin zamanoon ke mutliq Rasool Allah s.a.w ne khair ki khabar di aur yeh hadeeth BUKHARI ( 2651) mein hai.

natija yeh nikla ke taqleed sarasar bidat hai

yahan aik etraz kiya jata haike shariyat mut'harah ka beshtar hisah woh hai jis par yeh charoon imam mutfiq hein aur baqol Shah walli allah muhadees dehlvi (rh)in charron bazurgoon ka kisi masla par itfaq karna "ijmaa ummat" ki alamat hai yeni jis masla par aima arba mutfiq hoon.samjh lena chaiye ke suhabah ikram se le kar aaj tak puri ummat is par mutfiq chali aayi hai is liye aima arba ke itfaqi masla se bahir nikalna jaiz nahi.

jawaban arz hai ke aima arba kisi masla par mutfiq hoon woh agar ijma e ummat hai to sab se pehle aima arba ke muqliddeen khasusan HANFI is ke mukhalif hein.

No comments:

Post a Comment

ShareThis